![]() |
Faraaz! Is Missing in this Forum. - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: Faraaz! Is Missing in this Forum. (/thread-faraaz-is-missing-in-this-forum) |
- yasir_live - 04-22-2010 Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a a phir se mujhe choor ke jane ke liye a pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye a kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye a kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye a mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat chupake se kisi roz yeh jatane ke liye a jaise tujhe ate hain na anye ke bahane aise hi kisi roz na jane ke liye a - yasir_live - 04-22-2010 aisi tarikiyan ankho main basi hain 'Faraz' rat to rat ham din ko jalate hain chirag - yasir_live - 04-22-2010 Faraz teri yaad her pal stati thi, Wah Wah Faraz teri yaad her pal stati thi, Aik billi moti tazi thi jo mazay se ding dong khati thi.... - yasir_live - 04-22-2010 Tu Un galion main Kyun jata hai Faraz. Jaha pr Teri Koi iZat hi nahi...!!! - rabia-k - 04-22-2010 bara faltu time hai yahan public ke pass! - yasir_live - 04-22-2010 Some call it as Faltu Time and Some even Regard it as Vulgarism. It all depends on Individual's Level of Understanding, That how he/She understand things. To me this is neither Faaltu nor it is Vulgarism. My intentions were to Revive the Respect and memories of our Great Poet Mr.Faraz(Late). This is our duty to keep his Poetry alive for our next Generations! Regards. - Boss - 04-22-2010 Yasir Miyan, I understand k tumharay dil may faraz ki mohabbat Ummad rahii hai, aur tum out of control hotay ja rahay ho is mohabbat may doob kar, k is thread ki yeh 141th post hai aur in 141 may say koi 110 tumhare hain. yanee parsoon tak tumhare number of posts 590 thee aur aaj 711 hain.... Tou yar log to tum say jealous hongay na?[D] let them say whatever they want to say. Good wishes in your endeavours! however, if these stanzas were presented in a single post or two, it would have been better comparatively.[)] - sensible - 04-22-2010 log parh hi letay hain meri aankhon say meray dil ki halat faraz mjhsay ab teray pyaar ki hifazat nahi hoti - yasir_live - 04-22-2010 Bo$$ Yaar main Faraz ka sara DATA ek thread main Compile karna chah raha tha 2 B very honest. Lakin ab kuch Log Taang khenchnay main lagay hain Wohi Traditional Harkatain humari. Manager say Partner bunna hay to mehnat to karni paray gi na.........Kidding. Try 2 realize K number of Posts Barhnay k Against mujhay kya milay ga. Answer is "Nothing". Thanks for your Wishes towards me. Take Care. - FARHAN123 - 04-26-2010 Zindagi Toh Apne Hee Qadmoun pe chalti hai ''Faraz'' Auron ky Sahare Toh Janazey Utha Karte Hain!!! - WARDAH - 04-26-2010 bhale dinoN ki baat hai bhali si aik shakl thi na ye ki husn-e-taam ho na dekhne mein 'Aam si na ye ki woh chale to kahkashaaN si rahguzar lage magar woh saath ho to phir bhala bhala safar lage koi bhi rut ho us ki chchab fiza ka rang-o-roop thi woh garmiyoN ki chchaaoN thi woh sardiyoN ki dhoop thi na muddatoN judaa rahe na saath subh-o-shaam ho na rishta-e-wafa pe zid na ye ki izn-e-'Aam ho na aisi Khush libasiyaaN ki saadgi gila kare na itni be takallufi ki aaina haya kare na iKhtilaat mein woh ram ki bad-mazah hoN KhwahisheN na is qadar supurdigi ki zach kareN nawazisheN na aashiqi junoon ki ki zindagi 'azaab ho na is qadar kaThor pan ki dosti Kharaab ho kabhi to baat bhi Khafi kabhi sukoot bhi suKhan kabhi to kasht-e-z'AfraaN kabhi udaasiyoN ka ban suna hai aik 'Umr hai mu'Amilaat-e-dil ki bhi visaal-e-jaaNfiza to kya firaaq-e-jaaNgusal ki bhi so aik roz kya hua wafa pe bahas chchiD gayi maiN ishq ko amar kahooN woh meri zid se chiDh gayi maiN ishq ka aseer tha woh ishq ko qafas kahe ki umr bhar ke saath ko woh bad-taraz-hawas kahe "shajar hajr nahin ki ham hamesh pa ba gul raheN na Dhor haiN ki rassiyaaN gale main mustaqil rahaiN mohabbatoN ki vus'AtaiN hamare dst-o-pa meiN haiN bas aik dar se nisbateiN sagaan-e-bawafa meiN haiN maiN koi painting nahiN ki aik frame meiN rahooN wahi jo man ka meet ho usi ke praim meiN rahooN tumhari soch jo bhi ho maiN is mizaaj ki nahiN mujhe wafa se bair hai ye baat aaj ki nahiN" na us ko mujh pe maan tha na mujh ko us pe za'Am hi jo 'ahad hi koi na hoi to kya gham-e-shakistagi so apna apna raasta hansi Khushi badal diya woh apni raah chal paDi main apni raah chal diya bhali si aik shakl thi bhali si us ki doosti ab us ki yaad raat din nahin, magar "kabhi kabhi" Regards, WARDAH - yasir_live - 04-26-2010 Woh Shair hi kya Jo FaraaZ k naam say Mehroom ho. Thanks Wardah. - WARDAH - 04-26-2010 @YASIR. . .tasdeeq kra lo faraz he ki poetry hai.Ab itni achi poetry khali naam na honay say thread mai na dalon ziadti ki baat hai.agli dfa khyal karon gi k faraz bhi likha ho wrna tum shk he karo gy [p] - yasir_live - 04-26-2010 Wardah. Tum nay Keh diya Aur Tasdeeq Mukamal hogai FaraaZ ki Shairi ko ab kisi Aur Gawaah ki zaroorat nahi. Shair main Faraz ka naam na ho, Yeh bilkul esa hay Jesay Kisi Budnaseeb raat main Chand na Ho........! Wah Wah Wah Pata nah kya hogya hay Mujhay! Anywayz I was Kidding Wardah. Woh Poetry achi thi, Keep sharing Dear. Take CaRe! Regards. - WARDAH - 04-27-2010 @YASIR. . . itifaq hai is mai bhi faraz ka naam nahain but to check ker laina its refkhwab e gul pereeshan by Ahmed faraz Woh teri terhan koi thee -------------------------------- yunhi dosh per sambhale ghani zulf ke do'shale wohi sanwali si rungat wohi naen neend wale wohi mun pasund qamat wohi khushnuma serapa jo badan main neem khwabi to lahoo main rutjaga sa kabhi piyas ka samunder kabhi aas ka jazeerah wohi mehrban lehja wohi mezbaan waterah mujhe shairy se raghbat usse she'r yad mere wohi uske bhi qarine jo hain khas wasf tere kisi aur hi safr main ser-e-rah mil gai thi tujhe or kiya bataun woh teri terhan koi thi kisi shehr be amaan main main watan bader akela kabhi mout ka safr tha kabhi zindagi se khela mera jism jal raha tha woh ghata ka saiban thi main rafaqatun ka mara woh meri mizaj daan thi mujhe dil se uss ne pooja usse jaan se main ne chaha essi humrhhi main akhir kahin agaya doraaha yahan gumrhhi ka imkan usse rung o boo ka lapka yahan larzishun ke saman usse khwahishun ne thapka yahan dam the hazarun yahan her tarf qafas the kahin zer zameen ka daldal kahin jaal the hawas ke woh fiza ki fakhta thi woh hawa ki raj putri kisi ghat ko na dekha kisi jheel per na utri phir ek aessi sham aaee ke woh sham akhri thi koi zalzala sa aaya koi barq si giri thi ajab aandhiyan chalin phir ke bikher gae dil o jaan na kahin gul e wafa tha na cheeragh e ehad o paymaan woh jahaz uter gaya tha ye jahaz uter raha hae teri ankh main hain aansoo mera dil bikher raha hae tu jahan mujhe mili hae woh yahin juda hoi thi tujhe aur kiya bataun woh teri terhan koi thi. Regards, [)] |