![]() |
Youngster's Suggestions! - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: Youngster's Suggestions! (/thread-youngster-s-suggestions) |
- yasir_live - 09-18-2010 Namia Beti. dear tum khuaabon ki haseen dunya main reh rahi ho jahan sab kuch bohat khoobsurat hay Tabeer main aker dakho, Ground situation ko badalna bohat mushkil hay Dear. Meray khayal say sab say pehlay Law And Order ko reliable Aur intihaa say xiada strict karna chaiyay.Jahan abhi main reh raha hun yahan per bhi Kuch salon say Bohat ghalat kaam ho rahay hain lakin logon k dilon main SAZA honay ka Darr abhi tak baki hay Jo Pakistan main nahi hota. Regards. - Namia Beera - 09-18-2010 nhi yasir bhai.. aap ka kiaa khayaal hai k agar ap law and orders ko strict kar dein ge to log ruk jaein ge... NO and ABSOLUTELY NO!!!! Logo k dil se jub tk yeh chez nhi nikley gi k yeh kaam ghalat hai tub tk wh thek nhi hongey.... although smoking is severely banned in Saudia But 80% of the SAUDIAN girls are Smokers... and they use mouth washes and perfumes to get themselves escaped.... Now i tell you there are hardly 5% girls are smokers in Pakistan... Aap agar sirf ek achaa kaam karnaa start kar dein... apne dil se apni khushi se to apko pataa chalay gaa k iskaa kitnaa achaa effect partaa hai... ap SAUDIA beth kar PAKISTAN ko judge kar rhey ho... jub k yehaa k log itney burey nhi... inko sirf ehsaas dilaney ki baat hai..... - yasir_live - 09-18-2010 Namia. Well Dear Smoking is not prohibited. Khair yeh koi bura ya ghalat kaam hay bhi nahi jiss per pabundi rakhi jai Aur phir larkion k Phepron ka bhi barber ka hak hay k Woh suttay lagain ) coming bak 2 point, U may dis-Agree lakin mera pata nahi kyun yeh khayal hay k Jahan Darr hota hay wahan Discipline bhi hota hay. Aur Gori Awaam bhi koi fitrati tor per Achay log nahi hotay But Law & Orders k strict perameters aap ko bohat kuch ghalat karnay say roktay hain which is good. Regards. - Kasim - 09-18-2010 Haaan bhi <b>larkion k Phepron ka bhi barber ka hak hay k Woh suttay lagain )</b> aik aadhi tu namia tumhain iss forum per bhi mil jayegi jiss k lungs baytaaab rehtay hain sottay laganay ko abb sulag na paray woe ciggrate ki terha yeah perh k waisay ciggrate per aik shair yaad aya Sanam beywafa say siggrate acchi jalti hay jalati hay per lab ko tu atti hay regrads - WARDAH - 09-18-2010 ) - yasir_live - 09-18-2010 Wardah, kiss Decent Aunti k saath bethi thin tum pichlay dino, Jo itni mukhtasar C muskurahat denay lagi ho. Abb sharafat say apnay Style main ajao wapis. Buss bohat hogya Ati ho choti C Smile pass kar k chali jati ho, Matlab thori C selected ho gai ho hehehehe. Regards. - ciapk - 09-18-2010 Agreed Yasir, Law and order ki fair implementation say he change aa sakta hy, but smoking acha kam nai hay. "Cigrate noshi or iski khreed o frokht haram hay" Page Number 403, Maqalat o Fatawa by Smahat UsShaikh Abdul Aziz Bin Abdullah Bin Baz, Grand Mufti Saudia Arabia. Sorry dear but sach ko chupana possible nai hay agr pta ho tu pohncha daina wajib hay so I quoted the Fatwa of Grand Mufti of Saudia Arabia. Or Abdullah Bin Baz kay baray main ap sb muj sy ziada jantay hain. - aamalik - 09-18-2010 I always thought it was Maqru'ah ie undesirable and not unlawful haram! @ - ciapk - 09-19-2010 Dear Malik, It was considered as Makroh unless and until science has discovered that it lead to Cancer and heart disease. Now it has been proved as a poison thats why declared as Haram leading to intentional death. - Kasim - 09-19-2010 Dear E-Sis whats ur original name Aiman Abeera or Abeera Aiman waisay u r the 1st one i ever seen joe appna naam khud ulta likhti hooo scene kia hay kahin tum ulti tu nahi chalti ya paooon ultay tu nahi hain kia? lol - Namia Beera - 09-19-2010 hahahaha lolx.. kasim bhai my name is AIMAN AREEB [)] - Sitara - 09-20-2010 Asalam Alaikum, Well, Yes we can change our country. but for that we have to change oursleves. Jo kam hamay karnay ko mana kia jayhh hum wohi kartay haim. Bohat si jaga likha hota hai k yaha kachra phenkna mana hai too waha hi garbage kaa dheeer laga hota hai.. Rule ko implement karnay k liye pehle yaha rules ka hona bohat zarori hai. Sub se pehle to hamay unity ki zarorat hai. Then Aapne zehan se cast system nikalna parayga.... N this is what we should do.... Or phir sub se eham kirdar jiss chez ka hai wo Offcourse EDUCATION hai.... Illiteracy rate khatam karna hoga.. jo ik forum k member ne bohat hi nice advice dii hai...... I may implement on this Insha Allah... - Toronto_Boy - 09-20-2010 I didn't see any practical suggestion yet, except words of complains and asking others to change. Some need danda and some need Quaid-e-azam. Koi doosra kia karay ga, jabkay ham khud apni capacity main mojod chezon ko bhi theek tarha nahi karna chahtay, shayad iss liay kay sab kharab hain ya ba-alfaz deegar ground realities kharab hain tu hamain kia zaroorat hay. Samajhnay ki cheez buhat hi aasaan aur saada hay. Kia ham apnay ird gird aas paas koi chota sa bhi acha kaam nahi karsaktay. Kia ghar kay aas paas ya college, university, ya institute main aik poda (tree) bhi nahi laga saktay. Kai saal ham college aur university jatay hain, kia aik donga pani bhi nahi daal saktay hain har haftay? Edhi sahib, Hakeem Saeed aur buhat si doosri example samnay hain. Magar ham tu chota sa theek kaam bhi karnay ko tyar nahi hain. Iss kay liay bhi hamain Quaid-e-azam aur danday ki zaroorat hay. Ya ham yah samajhtay hain kay aik bachay ko basic education day kar, apnay institute main aik chota sa poda (tree) laga kar aur ossay jabtak ham wahan taleem hasil karrahay hain tab tak pani daal kar, ya red signal par khud hi volunteerly ruk kar society par konsa farq par jay ga. Ab sawal yah hay kay agar hamari sooch iss qadar neechay aachuki hay tu phir hamko bahtari ki omeed kis say karni chayay, jabkay ham khud aik intihai choti si bahtari ka kaam karnay ko bhi tyar nahi hain. Please read, "sab kutch badalna chahtay hain, bas apni aadatain nahi badalatay." http//www.bbc.co.uk/urdu/pakistan/2010/09/100919_baat_sa_batt_wusat.shtml - Ali RAZA - 09-20-2010 toronto bhai... topic per bohat kuch kehna chahta ho magar koi faida nahi hay... individually hum bohat kuch kar saktay hay aur kar bhi rahay hay magar phir bhi koi tabdeli nahi ati hay..tv per jab bhi karachi ki news dekta ho to sirf afsos hota hay..target killing, aik MPA ki qatal per pooray city ki sitaution kharab ho jati hay... goverment ko hi dekh lo saray ka saray nikamay hay... magar sawal ya hay kay change kab ho gay..ye change kabhi nahi ho gay.. hum sirf batein kar saktay ho aur kuch nahi.. mujhe koi umeed nahi hay kay kuch accha ho gay... sirf TV dekh kar afsoos hi kar saktay hay.. - Namia Beera - 09-20-2010 ALI RAZA!! dekho change ataa hai or zarur aata hai... aj nhi to kal perso ya 10 saal baad aey ga or zarur aey ga... per baat yeh hai naa k kiaa aj hum khud ko is tarah change kar k ahaa banaaa rhey hein k kal ko humari dekha dekhi bht saarey log change ho jaey.... |