![]() |
poetry - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: poetry (/thread-poetry--2814) |
- Gull - 03-25-2007 Tod de her ek ummed ki dori.. ummedon me kya rakha hai Ihsq mohabbat batein hain.. In baaton me kya rakha hai kismat main jo likha hai woh akhir ho ker rehta hai chund lakereen uljhi se hain..warna hathon main kya rakha hai ????? - shahzori - 03-26-2007 kab yaad mein tera saath nahi,kab haath mein tera haath nahi sudd shukr ke apni raato'n mein ab hijr ki koi raat nahi mushkil hein agar halaat wahan,dil baich aayein jaa'n de aayein dil waalo koocha e jaana'n mein kya aisey bhi halaat nahi jis dhaj se koi maqtal mein gaya,wo shaan salamat rehti hai ye jaan tou aani jaani hai,iss jaan ki tou koi baat nahi maidaan e wafa darbaar nahi,yaa'n naam o nasab ki poochh kahan aashiq tou kisi ka naam nahi,kuch ishq kisi ki zaat nahi gar baazi ishq ki baazi hai jo chaho laga do dar kaisa gar jeet gaye tou kya kehna,haarey bhi tou baazi maat nahi - shahzori - 03-26-2007 raat yun dil mein teri khoyi hoi yaad aayi jaise wiraaney mein chupkey se bahaar aa jaye jaise sehraao'n mein holey se chaley baad e naseem jaise bemaar ko bewajha qaraar aa jaye - shahzori - 03-26-2007 mein ne pochha dhoop mein baarish ho sakti hai ye sun kar wo hastey hastey roney lagi aur dhoop mein baarish honey lagi - shahzori - 03-26-2007 rafeeq e raah thee manzil har ik talaash ke baad chhuta ye saath tou rah ki talaash bhi na rahi malool tha dil e aaiyna har haraash ke baad jo paash paash hoa ik haraash bhi na rahi - shahzori - 03-26-2007 guzar jaa aql se aagey ke ye noor chiraagh e raah hai manzil nahi hai - shahzori - 03-26-2007 nadaa e ghaib har ik oolil amar ko sada do ke apni fard e amal sambhaley uthay ga jab jama e sarfiroshaa'n parei'n ge daar o rasan ke laaley koi na ho ga ke jo bacha le jaza saza sab yahin pe ho ge yahin azaab o sawaab ho ga yahin se uthey ga shaur e mehshar yahin pe roz e hisaab ho ga - shahzori - 03-26-2007 rotey bachon ko chup karana ho radio ka battan daba dijiye phir na bolein ge khauf ke maarey raag pakka unhein suna dijiye - shahzori - 03-26-2007 maqtal mein na masjid na kharabaat mein koi hum kis ki amaanat mein ghum e kaar e jahan dein shayad koi inn mein se kafan phhaar ke nikley abb jayein shahido'n ke mazaaro'n pe azaa'n dein - shahzori - 03-26-2007 mujhey nafrat hai aur nafrat rahey ge aisey logon se jo dastaar de kar sar salaamat maang letey hein - shahzori - 03-26-2007 jo parindey nigaah rakhtey hein sab se pehley aseer hotey hein aey 'adum' ehtiyaat logon se log munkir nakeer hotey hein - shahzori - 03-26-2007 dunya mein ehtaraam ke qaabil hein jitney log mein sab ko maanta hoon magar MUSTUFA(SAWW) ke baad - shahzori - 03-26-2007 dunya TEREY wajood ko karti rahi talaash hum ne TEREY khayal ko YAZDAA'N bna liya - shahzori - 03-26-2007 takhleeq e kaeynaat ke dilchasp jurm par hasta tou ho ga aap bhi YAZDAA'N kabhi kabhi - shahzori - 03-26-2007 IK NIGAAH E KARAM AEY HABIB E KHUDA ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA BEKHABAR HAI NAZAR BE ASAR HAI DUA ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA AZ UFAQ TAA UFAQ RANJ O GHUM KI GHATA ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA AADMIYAT HAI MASROOF E AAH O BAQA ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA CHAAK DAR CHAAK HAI AHL E DIL KI QABA ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA HUM FAQIRO'N KO BHI MUSKURAANA SIKHA ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA MAQSAD E AMR E KUN WAARIS E HAL ATAA ALMADAD MUSTUFA ALMADAD MUSTUFA |