![]() |
POETRY?? - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: POETRY?? (/thread-poetry--1384) |
- Humaira - 09-08-2005 AOA Sorry i was not here becoz i was out of station.now i am back.next word is "Y" ....here is the sher.. "yeh tumhari telkh nawaziyaan koi aur seh kay dikha to day yeh jo hum main tum main nibhah hai meray hoslay ka kamal hai" and next word is again "Y"... Allah hafiz n take care. - shahhh - 09-12-2005 HI HUMA ..... U STARTED A NICE DESCUSSION HERE .................GO ONNN... I LIKE POETRY BUT I THINK THERE R MANY PERSON WHO R REALLY FOND OF THIS THING ...I APPRECIATE ALL OF ONE WHO R THERE AND ALSO U .. UR ONE VERSE IS REALLY FANATIC ...WHIC IS TAT HUM BHI KYA AJAB HAIN KAY KARI DHOOP KAY TALAY SEHRA KHARID LAYE HAIN BARSAT BAICH KAR REALLY APP KAI BOAT DEEPZ THOUGTH HAIN..INTERESTING ....KEEP IT UP MAI KOI VERSE YAHAN NAI DAI SAKOON GA ,,,,BUT ASAI ACHHI VERSE ZAROOR PAROON GA SAB LOGON KI AUR YUR ALSO ...NICE HUMA syedi - Humaira - 09-12-2005 AOA[)] so the next word was "R" Raaz waloon say bhi raaz ki na keh Raaz khultay hain raazdaroon say the next word is "Y" Allah Hafiz. Remember Me In Ur Prayers.[)] - ibrishah - 09-13-2005 rahai na hum on kai pass na wo humarai huwai is dinya mai sab humarai liya baighanai howai tota tha wo bandhan yai hum b mantai hai kiya howa jo zindaghi mai wo humrai na howai Ibri - ibrishah - 09-13-2005 sorry i thought the next word is R actualy that was Y i saw that later Yai hum hai kai ab tak wafa kar rahai tora hai tum to rishtai barsoo pihlai humai na khushi hai na app ko ghum is dunyai app mazai mai hum satayai hai Ibri - Humaira - 09-13-2005 AOA[)] yuoon hi to shakh say patay gira nahi kertay bicher kay log ziyada jiya nahi kertay jo aanay walay hain mosam inhain shumar main rakh jo din guzar gay in ko gina nahi kertay na daikha jan kay is nay koi sabab ho ga isi khayaal say hum dil bura nahi kertay woh mil gaya hai to kiya qisa-e-faraq kahain khushi kay lamhoon ko yuoon bay maza nahi kertay nashat-e-qurb ' gam-e-hijraan kay eewaz mat mang dua kay naam pay yuoon baddua nahi kertay munafqat pay jihain ikhtayaar hasil hai woh arz kertay hain tujh say gila nahi kertay Allah hafiz[)] REMEMBER ME IN UR PRAYERS[)] " NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour " - ibrishah - 09-13-2005 Mai khud pai jabar karoongha tujai bola dongha maraongha khud b tujhai b kari saza dongha wafa karoongha kisi sooghwar chehrai sai porani qabar pai katba naya saja doongha issi khayal sai ghuzri hai sham-e- dard aksar kai dard had sai ghuzar jayai to muskora dongha to asman ki sorat hai ghir paraigha kabhi zamin mai ho magar tujh ko abroo doongha Bara rahi hai mari dokh nishaniyan teri mai teri khat teri tasweer tak jaladongha Baohot dino sai dil bara udas hai ...... iss ayinai ko koi aks ab naya doongha I have read this Ghazal some 5 years back when i was student of Matric.May be there some mistakes please forgive and correct the errors if any.APOLOGY from the POET. Thanks Ibri - ibrishah - 09-13-2005 "Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay " Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay Koi To Baat Hia Us Main Faiz Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay ... Ibri - Humaira - 09-13-2005 AOA[)] younhi mausam ki ada daikh kay yaad aya kis qadar jald badal jatay hain isaan jana. The next word is "A" Allah Hafiz n Take Care. Remember Me In Ur Prayers.[)] " NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour " - geelani - 09-14-2005 Hi i dont involve too much in poetry but i dont forget one " sher" of Iqbal Izat mohabat ki he qaim hijab-e-mohmil se mohmil jo gaya izat bhi gayi gharat bhi gayi laila bhi gai Naeem - Humaira - 09-14-2005 AOA how r u all ok the next word was "y" "Yaad reh jain gi baybakiyaan Nafs to raam ho hi jay ga Ay raza her kaam ka ek waqt hai Dil ko bhi araam ho hi jay ga" next word is 'A' Allah hafiz n take care. REMEMBER ME IN UR PRAYERS " NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour " - pinky - 09-15-2005 <blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Tahoma, Arial" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Ehrar_ACMA</i> <br />hi Dear Friends Yes I do like Parveen Shakir(Late) , Faraz & Galib & few others.. Waqar U r correct it is Galib's share... Ok lets start * Ah ko chahiyee ik Umer aser honay tak Koon Jeeta hay Teri zulf ke ser honay Tak (By Galib) Yes when ever we talk about "khusboo" we remeber Parveen Shakir It is title gazal of his book "Khusboo" * Koba Koba Phail Gaye Baat Shanasayee ki Us ne Khushboo ki tarah meri Pazeeraye ki Kaisay keh doon ke mujhay Choorhdiya us ne Baat to such hay mager baat hay Ruswayee ki Regards Kh. Ehrar Ul Hasan APA,ACMA,CIA(Usa),MA(Eco),CIMA(Inter),IBP-Stage-I (Only Sky is the limit.$$$..... <hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote"> - Humaira - 09-15-2005 AOA[)] Aisi koi duniya nahi aflak kay nichay bay maarka haath aay jahan takhta-e-jam-o-kay" Allama Iqbal Allah hafiz " NOthing in this world can compansate for the loss of self-respect,nobleness of mind and self-honour " - ibrishah - 09-25-2005 Waqt yo b kut jayaigha aghar na milai hum yai tasawoor b mahal hai o marai jane man kaha teri wo khubsorat adayai kaha koi aur! shaid yai dastoor hai milai kai app ko hum Ibri - ibrishah - 09-25-2005 Jo utar key ziinaa-e-shaam sey terii chashm-e-Khush mein samaa gaye Wohii jalate bujhate sey mahar-o-maah merey baam-o-dar ko sajaa gaye Yeh ajiib khel hai ishq kaa main ney aap dekhaa yeh moajezaa Woh jo lafz merey gumaan mein thy Woh terii zubaan par aa gaye Woh jo giit tum ney sunaa nahiien merii umer bhar kaa riyaaz thaa Merey dard kii thii daastaan jisey tum hansii mein uraaa gaye Woh charaaG-e-jaan kabhii jis kii lau na kisii havaa sey niguun hueii Terii bevafaaei key vaasavaay usey chupake chupake bujhaa gaye Woh thaa chaand shaam-e-visaal kaa key thaa ruup tere jamaal kaa Merii ruuh sey merii aankh tak kisii raushanii mein nahaa gaye Yeh jo bandagaan-e-niyaaz hai yeh tamaam hai woh lashkarii Jinhein zindagii ney amaan na dii to terey huzuur mein aa gaye Terii beruKhii key dayaar mein main hawaa ke saath hawaa huvaa Terey aaiine kii talaash mein merey Khwaab cheharaa ganwaa gaye Terey Waasavaaon key fishar mein teraa sharar-e-rang ujar gayaa Merii Khwaahishon key Gubaar mein merey maah-o-saal-e-vafaa gayey Woj ajiib phuul sey lafz thy terey honTh jin sey mahak uThy Merey dasht-e-Khvaab mein duur tak koeii baaG jaisey lagaa gaye Merii umr sey naa simaT sake merey dill mein itaney sawaal thy Tere paas jitaney jawaab thy terii ek nigaah mein aaa gaye Ibri |