![]() |
POETRY?? - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: POETRY?? (/thread-poetry--1384) |
- Mahtab - 04-20-2006 Edit - Mahtab - 04-20-2006 Haath Choote Bhi To Rishtey Nahi Choora Karte.. Waqt Ki Shakh Se Lamhein Nahi Toda Karte.. Jiski Awaaz Mein Silwat Ho NigahoN Mei Shikan.. Aisi Tasvir Ke Tukre Nahi Jora Karte.. Shahad Jeene Ka Mila Karta Hai Thora Thora.. Jaane WaaloN Ke Liye Dil Nahi Tora Karte.. Lagke Sahil Se Jo Behta Hai Usse Behne Do.. Aise Dariya Ka Kabhi Rukh Nahi Moda Karte.. - Mahtab - 04-20-2006 Mere Jaise Ban Jao Ge jab ishq tumhein ho jaaye gaa diivaroon se sar Takaraaoge jab ishq tumhein ho jaaye gaa har baat gavaaraa kar loge mannat bhii utaaraa kar loge taveezein bhii bandhavaao ge jab ishq tumnhein ho jaaye gaa tanhaii ke jhuule khuuleinge har baat puraanii bhuleinge aaiine se tum ghabaraao ge jab ishq tumhein ho jaaye gaa jab suuraj bhii kho jaaye gaa aur chaand kahiin so jaaye gaa tum bhii ghar der se aaoge jab ishq tumhein ho jaaye gaa bechainii bard jaayegii aur yaad kisii kii aayegii tum merii Ghazlein gaaoge jab ishq tumhein ho jaaye gaa This one is my most favourite - Mahtab - 04-20-2006 Kaun Kahata Hai Mohabbat Ki Zubaan Hoti Hai, Ye Haqiqat To Nigaahon Se Bayaan Hoti Hai, Vo Na Aaye To Sataati Hai Khalish Si Dil Ko, Vo Jo Aaye To Khalish Aur Javaan Hoti Hai, Ruuh Ko Shaad Kare Dil Ko Jo Puranuur Kare, Har Nazaare Mein Ye Tanviir Kahaan Hotii Hai, Zabt-e-sailaab-e-mohabbat Ko Kahaan Tak Roke, Dil Mein Jo Baat Ho Aankhon Se Ayaan Hoti Hai, Zindagi Ek Sulagati Si Chitaa Hai "sahir", Sholaa Banti Hai Na Ye Bhuj Ke Dhuaan Hotii Hai - Mahtab - 04-20-2006 judaee kay lamhay guzar rahey hain aahista aahista hum waapis zindagi basar ker rahe hain ahista ahista log achay lag rahe hain phir se aahista aahista lekinn ab un ki yaad aahee jati hai aahista aahista mujhye bhee khush rehney kaa haq hai poora poora lekinn phir bhee us ne kya mujhey ghamgeen aahista aahista woh tou hamein aasani shayad bhulaa bethey hain lekinn itna yaqeen hamein bhee hai kay unhein bhee hum yad atay hongey aahista aahista ab khushee ka ehsaas hamein bhee hota hia lekinn jald hee dil kuchh lamhay kay liye bhar jata hai aahista aahista itna sangdil hum thhay pehley kay bhula dete thhay aram se phir usse bhulana kyun mushkil ho raha hai pata naheen shayad woh hamari zindagee mein aye tou achanak lekinn jayeingee un ki yadein aahista aahista humein tou un ki yaad aa hee rahi hai lekinn dua hai kay woh hamein bhulaa sakein agar chahein tou magar forenn naheen aahista aahista hum unhein zindagee mein basa leinge ab bhee ger woh aye tou magar un per pehley jaisaa bharosa qaim hoga aahista aahista woh waapis aatay lagtay naheen hamein phir dua hai kay khuda se kay ...... hamein un ki yaad aye zindagee bhar aahista aahista shayad yeh dua ajab lagay raqeebon magar .... hal-e-dil badal jata hai insaan kaa raftaa raftaa.... - Mahtab - 04-20-2006 Koi Kesu, Koi Aachal Hame Aawaz Na De, Ab Kisi Aakh Ka Kajal Hame Awaz Na De, Hum Hai Khamosh To Khamosh Hi Rehne Do Hame, Koi Aahat Koi Halchal Hame Awaz Na De, Hum Ne Tanhai Ko Mehboob Bana Rakha Hai, Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai, Phir Pukara Hai Mohabat Ne Hame Kya Kijye, Di Sada Husn Ki Janat Ne Hame Kya Kijye, Jis Ke Saye Se Bhi Aksar Hame Dar Lagta Tha, Choo Liya Akhir Usey Hasrat Me Kya Kijye, Hamne Jasbat Ke Daman Ko Bacha Rakha Hai, Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai, Raas Ayena Kabhi Pyar Ke Halat Hame, Dil Ke Is Khel Mein Har Bar Hui Mat Hame, Kya Karenge Kaha Jayenge Kidhar Jayenge, De Gayi Jabbhi Daga Yeh Mulakat Hame, Bas Isi Soch Ne Hame Devana Bana Rakha Hai, Raakh Ke Dher Ne Sholo Ko Daba Rakha Hai. - Mahtab - 04-20-2006 Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise Jaan Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise - Mahtab - 04-20-2006 Baat Nikalegee To Phir Duur Talak Jaayegee Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho Oongliyaan Uthengee Sookhe Huye Baalon Kee Taraf Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf *****iyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee - Mahtab - 04-20-2006 Merii Tanhaaiyon Tum Hii Lagaa Lo Mujhako Siine Se Ki Mai.n Ghabaraa Gayaa Huu.n Is Tarah Ro-ro Ke Jiine Se Ye Aadhii Raat Ko Phir Chuu.diyo.n Se Kyaa Khanakataa Hai Ko_ii Aataa Hai Yaa Merii Hii Za.njiire.n Khanakatii Hai.n Ye Baate.n Kis Tarah Puuchhuu.n Mai.n Saavan Ke Mahiine Se Mujhe Piine Do Apane Hii Lahuu Kaa Jaam Piine Do Na Siine Do Kisii Ko Bhii Meraa Daaman Na Siine Do Merii Vahashat Na Ba.d Jaaye Kahii.n Daaman Ke Siine Se - Mahtab - 04-20-2006 Apna Gham Bhool Gaye, Teri Jafa Bhool Gaye Hum To Har Baat Mohabbat Ke Siwa Bhool Gaye Hum Akele Hi Nahin Pyaar Ke Diwaane Sanam Aap Bhi Nazren Jhookaanen Ki Adaa Bhool Gaye Ab To Socha Hai Ke Daaman Hi Tera Thaamenge Haath Jab Humne Uthaaye Hain Dua Bhool Gaye Shukr Samjho Ya Ise Apnee Shikaayat Samjho Tumne Wo Dard Diya Hai Ke Dawa Bhool Gaye - Mahtab - 04-20-2006 Aankh Ko Jaam Samajh Baitha Tha Anjaane Mein Saaqiya Hosh Kahan Tha Tere Diwaane Mein Jaane Kis Baat Ki Unko Hai Shikaayat Mujhse Naam Tak Jinka Nahin Hai Mere Afsaane Mein Dil Ke Tukdon Se Teri Yaad Ki Khushboo Na Gayee Hue Main Baaqi Hai Toote Huye Paimaanon Mein Dil-e-barbad Mein Umeed Ka Aalam Kya Hai Timtimathi Huyee Ik Shamma Hai Veeraane Mein - Mahtab - 04-20-2006 janay woh kasiey log thhay jin kay pyar ko pyar mila hum ney tou jab kalyan mangee kanton ka haar mila khushyon ki manzil dhoondhi tou ghum ki gard mili chahat kay naghme chahy tou banhein sard mileen dil kay bojh dugna ker gaya jo ghum khwar mila hum ney tou jab kalyan mangee kanton ka haar mila janay woh kasiey log thhay jin kay pyar ko pyar mila hum ney tou jab kalyan mangee kanton ka haar mila bichher gaya bichher gaya bichher gaya her sathi de ker pal dou pal ka sath kis kou fursat hai jo thamay deewanon ka hath hum ko tou apna saya aksar bezaar mila hum ney jab kalyan mangee kanton ka haar mila is ko hee jeenaa kehtey hain tou yunhee jee leinge uff na karein ge lab see leinge ansoo pee leinge ghum se ab ghabrana kaisey ghum so baar mila janay woh kasiey log thhay jin kay pyar ko pyar mila janay woh kasiey log thhay jin kay pyar ko pyar mila hum ney tou jab kalyan mangee kanton ka haar mila - Mahtab - 04-20-2006 Baat Nikalegee To Phir Duur Talak Jaayegee Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho Oongliyaan Uthengee Sookhe Huye Baalon Kee Taraf Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf *****iyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee - Mahtab - 04-20-2006 kiya hai piyar jisyy Humne zindagi ki tarhan woh aashna bhi mila humse ajnabi tarhan Kisy khaber thii bharegi kuch aur tareekhi chupega woh kisi badlee main chandni ki tarhan woh ashna bhi mila humse ajnabi ki tarhan!! bhara ke piyas meri usne haath chor diya woh ker raha thaa mura'vat bhi dil lagi ki tarhan woh aashna bhi mila humse ajnabi ki tarhan!! sitam to yeh hai ke woh bhi na ban saka apna kabool humne kiye jiske ghum khushi ki tarhan woh aashna bhi mila humse ajnabi ki tarhan!! Kiya hai piyar jisy humne zindagi ki tarhan Kabhi na socha tha humne Kateel uske liye karega humpe sitam woh bhi her kisi ki tarhan Kiya hai piyar jisyy humne zindagi ki tarhan - Mahtab - 04-20-2006 JHUKI JHUKI SI NAZER BAI QARAR HAI KE NAHI DABA DABA SA SAHI DIL MAIN PIYAR HAI KE NAHI Tu apne dil ki jawan dharkano ko gin ke bata Meri tarhan tera dil beqarar hai ke nahi woh pal ke jismein mohabbat jawan hoti hai us aik pal ka tujhe intizar hai ke nahi teri umeed pe thukra raha hon dunia ko tujhe bhi apne pe yeh aitbar hai ke nahi daba daba sa kahin dil main piyar hai ke nahi jhuki jhuki si nazer.. |