![]() |
POETRY?? - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: POETRY?? (/thread-poetry--1384) |
- maani - 12-20-2004 Agar kabhe mere yad aye..To chand rat0n ki narm dilgeer r0shne mein kise sitaray ko dekh lena...Agar w0h nakhl-e-falak se urr kar tumharay qadm00 mein aa giray t0 Yeh jan lena w0h Ista-ara- thaa mere dil ka.. Agar na aye magar yeh mumkin he kiss tarah hai k tum kise pe nigah dal0 t0 uss ki deewar-r-Jan na t00tay...Gurez karte hawa ke lehr0n pe hath rakhna Mein khushb0,0nn mein tumhein mil0nga..Agar sitar0n mein 0ss qatr0n(dew drops)Mein khushb00,0nn mein na pa0 mujhko t0 apnay qadm0 mein dekh lena mein gard h0te musaft0n mein tumhein mil0nga..Kehin pe r0shan charagh dekho to jan lena k her patangay k sath mein bhe bikhar chuka h0n.Tum apnay hat0n se uss patangay ki khak dariya mein dal dena..Mein khak ban kar samandar0n mein safar kar0nga...Kehin na dekhay howay jazeeray pe ruk k tumk0 sadaen d0nga...Samandar0n k safar pe nikl0 t0 uss jazeeray pe bhe utarna...t0 uss jazeeray pe bhe utarna........................................................................................ Ace - ophie - 12-20-2004 This is a good piece of poetry from amjad islam amjad ....... But "Azaad" shairy is a bit hard to judge .........<img src=icon_smile.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile.gif border=0 align=middle><img src=icon_smile.gif border=0 align=middle> - Huma - 12-21-2004 Hey GUYS i would like if someone could correct this SHAIR for me,, as i am not quite sure if i am quoting it right... NAHAQ HUM MAJBORON PER TUHMAT HAY (KHUD)MUKHTARI KI JO CHAHAY HAI SO AAP KARAIN; HUM KO ABAS BADNAM KIYA.. TAKE CARE HUMA - Humaira - 12-21-2004 AOA Sorry Miss Huma i dont know about this SHAIR "Agher hum kahain aur wo muskura dain Hum un kay liyah zindagani luta dain Her ik moor par hum ghamoon ko saza dain Challo zindagi ko muhabaat bana dain" So the last letter is "N" Allah hafiz "Peace cannot be achieved through violence, it can only be attained through understanding." - ophie - 12-21-2004 NNNNNNNNNNNNNNNNNNNNNNNN Na-rasai ki qasam, itna samajh mein aaya Husn jab hath na aaya to khuda kahlaaya (Ahmad Nadeem Qasmi) - Humaira - 12-21-2004 AOA "AAb kay ruat badli to khushbu ka safer daykhay ga kon Zakhaam phuloon ki terhaan mehkain gay per daykhay ga kon Daykhna sab raqsa-e-bismill main magaan ho jaian gay Jis teraf say teer aay ga udher daykhay ga kon Zaghaam jitnay bhi thay sab mansoob qateel say huay Teyray haathoon kay neshaan aay char-e-gger daykhay ga kon WO hawass ho yah wafa ho baat mehroomee ki hay Log to phaal phool daykhaian gay shager daykhay ga kon Meyri aawazoon kay saayeh meyray bam-o-der pey hain meyray lafzoon main uter ker meyra gher daykhay ga kon Hum caragha-e-shab hi jab thehray to phir kiya sochna Raat thee kis ka mooqader aur seher daykhay ga kon AA faseel-e-sheher say daykhain ghanim-e-sheher ko Sheher jalta ho to tujh ko baam per daykhay ga kon Her koi appni hawa main masst phirta hay Faraz Sheher-e-na purrasaan main teyri chashm-e-ter daykhay ga kon So the next letter is "N" Allah hafiz "Peace cannot be achieved through violence, it can only be attained through understanding." - Huma - 12-21-2004 NAWADARAT KI QIMAT PER JIN KO BAICH SAKAY ZAMANA AESAY BUTON KO KHUDA BHI KAHTA HAY QATIL TO KABHI WAAZ KA AETBAR NA KAR MAZAK SAY WOH TUGHAY PARSA BHI KAHTA HAY YYYYYYYYYYYYY... REGARDS HUMA - ophie - 12-21-2004 NNNNNNNNNNNNNNN Na sawaal-e-wasl, na arz-e-gham, na hakaayatein, na shikaayatein teray ahd mein dil-e-zaar ke sabhi ikhtiyaaar chalay gaye yeh hamee thay jin ke libaas peh sar-e-rah siyaahi likhi gayee yahee daagh the jo saja ke hum sar-e-bazm-e-yaar chalay aye (Faiz Ahmad Faiz) - Humaira - 12-21-2004 AOA "AAb kay becher kay uss ko nadamat thee iss qadder Jee chahata bhi ho to palaat ker na aay ga wo" So "O" is the last letter Allah hafiz "Peace cannot be achieved through violence, it can only be attained through understanding." - Huma - 12-22-2004 last word was WOH.. mean.. HHHH SO HERE U GO WITH A FEW SHAIRS OF SAGHIR'S GHAZAL) HAY DUA YAAD MAGAR HARF-E-DUA YAAD NAHI MERAY NAGHMAT KO ANDAZ-E-NAWA YAAD NAHI MAIN NAY PALKON SAY DAR-E-YAAR PE DASTAK DI HAY MAIN WOH SAIL HOON JISAY KOI SADA YAAD NAHI ZINDAGI IK JABR-E-MUSALSAL KI TARHA KATI HAY JANAY KIS JURM KI PAI HAY SAZA YAAD NAHI AO IK SAJDA KARAIN ALAM-E-MADHOSHI MAIN LOG KAHTAY HAIN KAY SAGHIR KO KHUDA YAAD NAHI regards huma - Huma - 12-22-2004 last word was WOH.. mean.. HHHH SO HERE U GO WITH A FEW SHAIRS OF SAGHIR'S GHAZAL) HAY DUA YAAD MAGAR HARF-E-DUA YAAD NAHI MERAY NAGHMAT KO ANDAZ-E-NAWA YAAD NAHI MAIN NAY PALKON SAY DAR-E-YAAR PE DASTAK DI HAY MAIN WOH SAIL HOON JISAY KOI SADA YAAD NAHI ZINDAGI IK JABR-E-MUSALSAL KI TARHA KATI HAY JANAY KIS JURM KI PAI HAY SAZA YAAD NAHI AO IK SAJDA KARAIN ALAM-E-MADHOSHI MAIN LOG KAHTAY HAIN KAY SAGHIR KO KHUDA YAAD NAHI regards huma - maani - 12-22-2004 koi dost hai na rakeeb hai,tera shehar kitna ajeeb hai... if anybuddy can quote the above ghazal completely? Ace - Huma - 12-22-2004 <BLOCKQUOTE id=quote><font size=1 face="Verdana, Tahoma, Arial" id=quote>quote<hr height=1 noshade id=quote> koi dost hai na rakeeb hai,tera shehar kitna ajeeb hai... if anybuddy can quote the above ghazal completely? Ace <hr height=1 noshade id=quote></BLOCKQUOTE id=quote></font id=quote><font face="Verdana, Tahoma, Arial" size=2 id=quote> No sir, sorry cant help.. III SAY SHAIR SUNAIN IS SOCH MAIN HOON DEKHYE DETAY HAIN KYA FARAIB WOH PHIR SAY MIL RAHAY HAIN BARI SADGI KAY SATH HUMA - ophie - 12-22-2004 This is a ghazal sung by Jagjit Singh. I dont know the name of poet. "Koi dost hei naa raqeeb hei Tera shahr kitna ajeeb hei Woh jo Ishq that woh Junoon tha Yeh jo hijr hei yeh naseeb hei Mein kisay kahoon meray saath chal yahaan sab key sar peh saleeb hei Yahaan kis kaa chehra parha karoon yahan kon itna qareeb hei And Maam Huma ....... Your last letter was HHHHHHHHHHHHH Hamesha ke liye mujh se bichar jaa Yeh manzar baraha dekha na jaaye - Huma - 12-23-2004 MR Ophie.. EEEEEEEEE say shair mulahiza farmain.. EK DIN WOH MERAY AIB GINWANAY LAGA FARAZ JAB THAK GAYA TO MUGHAY SOCHNA PARA.. take care HUMA |