![]() |
POETRY?? - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: POETRY?? (/thread-poetry--1384) |
- Huma - 12-23-2004 correction EK DIN WOH MERAY AIB GINWANAY LAGA FARAZ JAB KHUD HI THAK GAYA TO MUGHAY SOCHNA PARA.. regards.. huma - ophie - 12-23-2004 AAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAa here is a "Nazm" frpm Faiz The subject of Nazm is "Raqeeb sey" ..... The "nazm" is a bit lengthy but I want you to read this whole poem ........ It's beautiful AA keh wabasta hein us husn ki yaadein tujh se Jis ne iss dil ko pari khana bana rakha tha Jis ki ulfat mein bhula rakhi thi dunya hum ne dahar to dahar ka afsana bana rakha tha Aashna hein teray qadmon se woh raahein jin par us ki madhosh jawaani ne anaayat ki hei Kaarwan guzrey hein jin sey usee ranaai key jis kee in aankhon ne bay-sood ibaadat ki hei Tujh se khailee hein woh mahboob hawaein jin mein uss ke malboos ki afsurda mahak baaqi hei tujh peh bhi barsa hei uss baam se mahtaab ka noor jiss mein beeti hui raaton ki kasak baaqi hei Tu ne dekhi hei woh paishaani woh rukhsaar woh hont zindagi jin ke tasawwur mein luta di hum ne Tujh pe uthi hein woh khoi hui saaahir aankhein Tujh ko maaloom hei kyun umr ganwa di hum ne - Huma - 12-23-2004 THIS IS ONE OF MY PERSONAL FAV MR OPHIE... FAIZ SAHAB KI TO KYA HI BAAT HAY.. unhi ka hi aek aur shair aap ki nazar hay YEH BAZI ISHA KI BAZI HAY JO CHAHY LAGA DO DAR KAISA GAR JEET GAYE TO KYA KAHNA HARAY BHI TO BAZI MAAT NAHI .. (FAIZ) regards huma - ophie - 12-23-2004 kab yaad mein us ka saath nahin, kab hath mein us ka haath nahin sad shukr keh apni raaton mein ab hijr ki koi raat nahin Maidaan--wafaa darbaar nahin, yahan naam-o-nasab ki pooch kahan Aasiq to kisi ka naam nahin, kuch ishq kisi ki zaat nahin Jis dhaj se koi maqtal mein gaya woh shaan salaamat rahti hei yeh jaan to aani jaani hei iss jaan ki to koi baat nahin It is indeed one of my favourites ............... Maam ....... congratulation for starting such a good topic .......... Credit goes to you .............. - maani - 12-24-2004 Ruswaion mein ajab ik maza hai Dushwarion mein ajab ik maza hai Kabhi is mefil mein akar to dekho Tanhaeion mein ajab ik maza hai Soraj ko dobhte dekha to samjha Pasteon mein ajab ik maza hai Kabhi ho jo hum per bhi nazre karam In inyaton mein ajab ik maza hai Na hum un ko samjhe na woh hum ko samjhe Khushfemeion mein ajab ik maza hai Chale ja rahe hain yu hi be irada Is darbadri mein bhi ajab ik maza hai Mil kar bhi un se door kitne In faslon mein ajab ik maza hai Na kehna koi bewafa un ko yaro In bewafaion mein ajab ik maza hai Na hum kuch kahen gay na who kuch kahein gay Khamosheon mein ajab ik maza hai Apni hi dhun mein guzari hai sayed Meri zindagi mein ajab ik maza hai Ace - Huma - 12-24-2004 thanks Ophie.. urdu-poetry is one of the best thing i ever have come across.. I AM REALLY HAPPY TO SEE SUCH A GREAT RESPONSE FROM ALL THE PPPL.. nnnnn here a few shairs of FARAZ.. NASHTAR CHUBHAY HUWAY THAY RAG-E-JAN KAY AAS PASS WOH CHARA_GAR THA AUR MUGHAY DAR BHI USSI KA THA (NEXT IS ANOTHER FAV) KHANJAR DAR-E-ASTIN HI MILA JAB KABHI MILI WOH TAIGH KHAINCHTA TO YEH SAR BHI USSI KA THA DEKHA MUGHAY TO TARK-E-TALAQ KAY BAWAJOD WOH MUSKURA DIYA, YEH HUNAR BHI USSI KA THA REGARDS HUMA - ophie - 12-24-2004 AAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAAA Awwaleen qurb ki sarshaari mein kai armaan thay jo ab yaad nahin yeh haqeeqat hei keh ahbaab ko hum yaad hi kab thhay jo ab yaad nahin rishta-e-jaan tha kabhi jis kaa khayaal uss ki soorat bhi to ab yaad nahin - Huma - 12-24-2004 NNNNNN NAHIN YAQIN TO AZMA KAR DEKH LO KAISAY BADATA HAY TUMHARAY MUSKARANAY SAY DIl-e-NASHAD KA MOSAM RUTON KA QAIDA HAY YEH WAQT PER ATI JATI HAIN HAMARAY SHEHAR MAIN KYON RUK GAYA FARYAD KA MOSAM by amjad islam amjad. HUMA - maani - 12-24-2004 Humain Muskarana Ki Adaat See Ho Gyi Hai, Her Ghum Ko Chupana Ki Adat See Ho Gyi Hai, Sahna Nahi Pata Ho Mera Ghum Janti Hoon, Main Inain Apna Daman Main Chupati Hoon, Her Ghum Bhool Jaoon Is Duniya Ka Main, Chupa Lo Ager Humain Apna Daman Main, Ek Dosra Ki Muskrahat Bana Rahain Sada Hum, Her Dukh-o-Ghum Sa Lar Ka Jiuyan Sada Hum, Ace - maani - 12-24-2004 Duniya ko is ka chehra dekhana para mujhe Parda jo darmiyan tha hatahna parah mujhe Ruswayion ke khuaf se ajj phir Mehfil mein teri aana parah mujhe Usool-e-mehfil reh gaye is liye, Is bewafa se haath mila na para mujhe Gum ho na jaye log kahin is liye Apne Laho ka deep jala na para mujhe Tum kis pe azzmao ge apni jafa ke teri mehfil bas ye sooch ke aana para mujhe Dil ko yakeen tha aap ke aane ka is liye Ankhon ko raaste pe bichana para mujhe Nayaab mujh ko ghum se mohabbat thi is liye Dil ek bewafa se laga na para mujhe. Ace - maani - 12-24-2004 Jub B Suraj Ki Tapash Tujay Satanay Laga, Ban Ka Badal Main Tuj Pay Burasnay Lagoon, Jub B Bijli Ki karak Tujay Daranay Lagay, Ban Ka Huwa Tujay Khood Main Samyat Loon, Jub B Tu Andhara Se Gubranay Lagay, Ban K Jugnoo Teray Gird Mundlanay Lagoon, Jub B Tujay Meri Yaad Sataye, Ban K Moti Teri Ankh Sai Tapkoon, Ace - Huma - 12-25-2004 For Heavens sake BAIT BAZI KAY RULES TO MUT TORIye... the last alphabet was MMMMM so plz.....i will be really thankful )do not take it hard on you,, if you want to send extra stuff then you guys are most welcome, but first of all do write atleast a shair which starts with the last alphabet of previous shair.. so a shair starting with MMMM by parveen shakir MAIN SOCHTI THI TERA QURB KUCH SAKON DAY GA UDASIYAN HAIN KAY KUCH AUR BARH GAIN MIL KAR RGEARDS.. HUMA - Huma - 12-25-2004 For Heavens sake BAIT BAZI KAY RULES TO MUT TORIye... the last alphabet was MMMMM so plz.....i will be really thankful )do not take it hard on you,, if you want to send extra stuff then you guys are most welcome, but first of all do write atleast a shair which starts with the last alphabet of previous shair.. so a shair starting with MMMM by parveen shakir MAIN SOCHTI THI TERA QURB KUCH SAKON DAY GA UDASIYAN HAIN KAY KUCH AUR BARH GAIN MIL KAR RGEARDS.. HUMA - maani - 12-25-2004 sorry yaar...poetry nahin chalay gi kia...bait baazi mein sirf kuch log hi participate ker sakain gay...so plz Sab kuch tu tere pass hai Tu phir kiyon dil udass hai? Hai piyar bhi tere liye Khayal bhi tere liye Ye dil bhi tere pass hai Tu phir kiyon dil udass hai? Main sochta hoon bas tujhe Main dekhta hoon bas tujhe Jab mujh pe etebaar hai Tu phir kiyon dil udass hai? Hai zindagi tere liye Ye dil, khushi tere liye Ye sab jo tere pass hai Tu phir kiyon dil udaas hai? Too neend main, tu khwab main Too mere dasht-o-aab main Har pal too mere saath hai Tu phir kiyon dil udass hai? Har simt hain gul khile houe Hain dost bhi mile houe Har simt piyar hi piyar hai Tu phir kiyon dil udass hai? Ye dil, khushi or etebaar Ye dost, khwab or ye piyar Sab kuch tu tere pass hai Tu phir kiyon dil udass hai? Ace - n/a5 - 12-26-2004 Muskaratay Raho Dard kaisa bhi ho ankh nam na karo Raat kaali sahi koi gham na karo Ik sitara bano jagmagatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Baant'ni hai agar baant lo har khushi Gham na zahir karo tum kisi per kabhi Dil ki gehraai mein ghum chupatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Ashk anmool hain kho na dena kahin In ki har boond hai motiyoon se haseen In ko har ankh se tum churatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho Faaslay kam karo dil milatay raho Zindagii mein sada muskaratay raho HEART BEATS ( try try again ) |