Thought provoking poem on quran - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: Thought provoking poem on quran (/thread-thought-provoking-poem-on-quran) |
Thought provoking poem on quran - haamidbaaqri - 03-19-2005 arz karta hoon ki, <font color="blue">Samjho khuda ke waaste azmat quran ki dono jahaa.n pe chaayee hai rahmat quran ki qaole nabi hai momino qura.n padha karo ahmed ke jaisi zindagi tum bhi jiya karo barsegi tum pe dekhna rahmat quran ki samjho khuda ke...... rabne quran bheja hai zindo.n ke waaste duniya quran padhti hai murdo.n ke waaste haatho.n se hum banaate hai.n turbat quran ki samjho khuda ke... akhbaar aur risaalo.n ko palko.n pe rakhliya allah ki kitaab ko taaqon mei.n rakhdiya muslim ke haatho.n hoti hai zillat quran ki samjho khuda ke... ramadhan ke maheene mei.n allah ke qareeb gyaarah maheene hum to hai.n shaitaan ke qareeb bolo kahaa.n se paayenge barkat quran ki samjho khuda ke... naize pe to hussain ne qura.n suna diya sookhe labo.n se fatha ka ailaan kar diya shabeer ne bachaayee hai hurmat quran ki samjho khuda ke... taqwey ke saath zindagi haamid guzaar lo kirdaare mustafa se tum khud ko sanwaar lo waqtey ajal bhi lab pe ho midhat quran ki samjho khuda ke... wassalaam,iltemaase dua,haamid baaqri ,BANGALORE </font id="blue"> asa tiza ke liye phool ka ek haar qalam, jahal ki aankh mei.n chubhta hai banke khaar qalam. - muqtader - 03-21-2005 Jazak Allah ) Muqtader Abbas Shah |