Poem - Tere Laut anay Ka ImkAan SajA RakhA Hai - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: Poem - Tere Laut anay Ka ImkAan SajA RakhA Hai (/thread-poem-tere-laut-anay-ka-imkaan-saja-rakha-hai) |
Poem - Tere Laut anay Ka ImkAan SajA RakhA Hai - khurramzarin - 10-12-2005 Dil ki chokhat pe ek deep jala rakha hai Tere laut aane ka imkaan saja rakha hai Saans tak bhi nahin lete hain tujhe sochte waqt Hum ne is kaam ko bhi kal pe utha rakha hai Rooth jaate ho to kuch aur haseen lagte ho Hum ne yeh soch ke hi tum ko khafa rakha hai Tum jise rota hua chhorr gaye they ek din Hum ne us shaam ko seeney se laga rakha hai Chein lene nahin deta yeh kisi taur mujhe Teri yaadon ne jo toofaan utha rakha hai Jaane waale ne kaha tha ke woh laut aaey ga zaroor Ek isi aas pe darwaaza khula rakha hai Tere jaane se jo ek dhool uthi thi ghum ki Hum ne us dhool ko aankhon mein bassa rakha hai Mujh ko kal shaam se woh bohat yaad aane laga Dil ne muddat se jo ek shaks bhula rakha hai Aakhri baar jo aaya tha mere naam Wasi Mein ne us khat ko kalejey se laga rakha hai⦠|