POETRY - Printable Version +- Accountancy Forum (https://www.accountancy.com.pk/forum) +-- Forum: General (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general) +--- Forum: General Discussion (https://www.accountancy.com.pk/forum/forum-general-discussion) +--- Thread: POETRY (/thread-poetry) |
POETRY - Sarfaraz - 12-05-2003 Chote se chehre par bari bari naak hai Accounting aati nahi karni kia khaak hai Aap humare ustaad hain tamam parde chaak hain Ye hamari class hai duster hai na chalk hai Naqal ki aadi hai class sari test ka kia faida Ye beemari aam hai kon iss se pak hai ___________________________________________________ Mere dil ko debit kar lo Apne dil ko credit kar lo Jo dil chahe kar lo lekin Mujh se milna habit kar lo Kaisa phudakta phirta hoon main Mujh ko apna rabbit kar lo ___________________________________________________ BAKRA Kash iss eid par main tera bakra hota Aur kissi ne na sahi tu ne to mujhe pakra hota Tu hinai lege hathon se mujhe pathe khilati Thore thore nahi sare akathe khilati Tu mujhe bain bain kar ke bulati Aur sham ko gali main saath ghumati Main teri qurbat ka nasha bar bar karta Tere lams ka ahsas mujhe sarshar karta Mere pass gari na sahi chakra hota Kash iss eid par main tera bakra hota Tu meri suhbat par naaz karti Bila-jhijhak mujhe aashnae-raz karti Agar mera raqeeb mujhe chehra karata Seeng marta foran usse takar karata Raat ko sardi main bahir akra hota Kash iss eid par main tera bakra hota Phir eid par zibah ho jata main Teri khatir cut mar jata main Teri muhabat ne kuch iss tarah jakra hota Kash iss eid par main tera bakra hota There is a will there is a way. - Ammar - 12-06-2003 hi nice poetry but do it well in next time ha ha ha ha ah ahah i will see u again after my exam ammar |