09-17-2008, 06:30 PM
Aslamo Alekum
Due to my writing power of english is not so good, so i am writing in urdu a few sentences and with apologize to those people who dont know URDU ROMAN.
Mein ne yeh poora topic interest ke bare mein perha hai, bohut si baton ne meri knowledge mein izafa kia hai aur kuch batein mein bhi batana chata hoon.
Yeh to sab hi jantey hain Quran aur hadees mein yeh bat sabit ho chuki hai ke sood haram hai chahe wo kisi bhi shakal mein aur sood kehtey bhi use hain jo zaid rakam per dia jaye.
Choonke sood haram ki baat ho rahi hai is liye sirf sood ki baadkeronga wasey to islam hamein zulam kerne mana kerta hai, ab ager bhale koi things purchase ya sale kia jata hai us mein bhi zaid na ho verna wo bhi haraam hota hai , yeh bhi taqreebun sabhi jantey hain,
Ab bat kertey hain sood ki, so quran aur hadees se baat sabit ho chuki hai ke sodi karobar se lean dean haram hai aur lean dean Buisness ko kehtey hain aur ager koi len den ko buisness na kahe to phir sood paida hi nahi hoga kyon ke karz lia jitna utna wapus kia to so sood. yeh to huwi ek baat.
ab doosri baat koi bhi bank (jo ke islamic bank)nahi us se len den haram hai, jese ke credit card, morgage financing , car financing , or thing to purchase on installments. Kyon ke hadees mein hai ke Soodi karobar se lean dean haram hai. phir to obsiously employee ki income bhi sirf wahin bank se haram huwi.
Isi tarah ager koi company jo banks nahi, wo ager bonds leti hai saving hon ya treasury kuch bhi ho aur us pe us ko markup mil raha hai to wo income bhi haram huwi, is ka jawab deh to company ka malik hoga aur wo banda bhi hosakta hai jis ne company ke malik ko is per raghib kia. ab sawal yeh ke company mein to hum job ker rahe hain, to hum to majboor hain per ager ek baat ager sab ko maloom ho ke momin wo hai jo baz kam ayse bhi chor detey hain jis mein haram ka chance ho, yeh aur baat hai ke koi koi momin hota hai.
Per ek baat dunya to arzi hai humein bus halal zindagi per guzara kerna chaiye, aur yeh maloom rakhni chaiye ke konse sources haram banatey hain aur baaz halal sources bhi haram ban jatey hain.
Jese ke estate agencies mein hota hai ke bech mein se commission marleta hai (us ke elewah jo mutaeen hota hai), isi tarah do jaga job kerne mein bhi hai, is mein ziayda ter wo companies jo invention kertey hain like chemical, technical yeh production banatey hain ager ek hi waqt mein yeh doosri jaga kam karey to zulm hota hai phele wale malikon per. otherwise knowledge mein hai to wo to aur baat hai...Is ki sab se bari nishani yeh hai ke ek hi waqt mein do jaga job kertey ho aur ap ko shak ho ke first company wali job khatarey mein paregi to samjlein ke haram start ho chuka hai 2nd company ki kamai se.
Batt huwi to sood ki, sood ka mutabadil, to mere doston kia yeh zaroori hai ke chader se paoon nikala jaye, ager rent per le lia jaye ya kuch bhi to zindagi tab bhi guzar sakti hai bus himat ki zaroorut hai, kal ka kia bharoosa ager bilfarz loan bhi lia without interest if u have died who will ur sons, hum log mein yehi burai hai hum teen chezein virasat mein detey hain apni aulad ko ek QARZ, Doosra BADLA YANI KE INTEQAM kisi dushman se aur teesri cheez haram kami. mein ghurbat ki baat nahi keronga, kyon ke ghareeb wo hai jis ke pass kamane ke sources nahi. Verna to ayse log hain jo izat se ek chat ek roti ek kaprey mein zindagi guzar ker chale jatey hain.. verna to jitna ziayda mal hoga utna ziayda hisab hoga kayamat mein, jis ke pass maal aur hisab kam hoga wo jaldi hisab kitab se farigh hoga kayamat ke din.
Jahan tak islamic banking ki baat hai yeh to awal se banking hai nahi, yeh actually consultancy firm hai jo partnership mein buisness kertein hain. per in ka return low is liye hota ke log abhi ziayda idher invest nahi ker rahe aur 2nd reason profit aur loss buisness ka lazzmi juz hai loss na bhi ho to profit to kam hosakta hai aur is per jo partnership ki bundya per koi cheez purchase ki jati hai us mein ne in ka marjin ziayda hota hai, us ki waja sirf cost hai kyon ke bank to basic interest per kam kerta hai aur islamic banks khud involve hotey hain buisness mein to un expenses countfar kerne partey hain as per project, but i am sure islamic banks is baat ka khayal rakhtey hain ke sood ya koi aur haram income shamil na ho is ke liye donation type ka account create rakhtey hain aur yeh mohtat rehtey hain ke income haram na ho is ki waja hain ek to deen islam aur doosra market mein jis din yeh khaber create hogai ke islamic bank bhi haram kam ker rahe hain to log khuda na khasta islam se bhi door hone ke chances hain.
Kyon ke bhuroosa toot jaye hhum bohut hota hai.
Allah hafiz