04-22-2010, 07:08 AM
Ranjish hi sahi dil hi dukhane ke liye a
a phir se mujhe choor ke jane ke liye a
pahale se marasim na sahi phir bhi kabhi to
rasm-o-rahe duniya hi nibhane ke liye a
kis kis ko batayen ge judai ka sabab ham
tu mujh se Khafa hai to zamane ke liye a
kuchh to mere pindar-e-muhabbat ka bharam rakh
tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye a
ek umr se hoon lazzat-e-giriya se bhi maharum
ai rahat-e-jan mujh ko rulane ke liye a
ab tak dil-e-Khush faham ko tujh se hain ummidain
ye aKhiri shamain bhi bujhane ke liye a
mana ki muhabbat ka chupana bhi hai muhabbat
chupake se kisi roz yeh jatane ke liye a
jaise tujhe ate hain na anye ke bahane
aise hi kisi roz na jane ke liye a