<font size="1"><blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Namia Beera</i>
<br />well
jub me choti thi, 2 class me.... to mjhe adat thi k ghr me pehne wali chappal ko punjay se maroor maroor k chala karti thi... [P]
ek din mama ne mjhe rusk lene bhejaa tha or meri chappal rastey me oot gai...
me ne bjaey ghr janey k ussi chappal me chal pari []
then yu hua k bakery sarak cross kar k thi.... or meri adat BHaag k sarak cross karne ki thi... us ghatiaa juti k sath jab cross ki to pao slip huaa..... and ankh hospital me khul VomITINGS kartey huey []
mereuper se ek bhai tezi me motor bike chalaa gyaa tha.... phr whi mjhe hospital le kr chala gya. mama ko bakery wale uncle ne ghr ja k btaa dia.. [P]
us k baad se kbhi juti nhi marori... or me us k baad 8th class tak akeley sarak nhi kar pai [D] kisi anti uncle ya bachey se keh deti thi k sarak paar karwaa do
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote"></font id="size1">
Humain Yaqeen ho gya hay k Tum Achuki ho.......Aur yeh tumhari hi post hay........[D]
Well Dear kafi afsos hua aap ka yeh Waqeya sun kar k Ek banday nay apni Bike aap per guzaar di khair Dil mat chota karo logon k ooper say Tu jahaaz bhi guzar jatay hain.
Ainda khayal rakhna Yeh Marroornay ki Adat hay hi kharaab[p] Acha khasa banda down ho jata hay[D]
Chalo shabash Abb koi dhang k intresting Topic introduce karao.
Train Wali baat say Ek baat yaad i, takreeban duss-bara saal ho chukay hain isay bhi, Pakistan main kisi uncle nay kaha k chalo tumhain apna gaaon dikhatay hain kya iss karachi k Shor-sharabay main jee rahay ho humara gaon dekho gay tu yeh sab bhool jao gay.
KHar main Chala gya, Gaon phoncha Mushkil say Dairr din guzara buss. Woh Dair-din mari zindagi k shayad sab say barray Dair-din thay. Itni ajeeb zindagi k damagh kharaab ho gya.Suba 6 bajaay wahaan sab uth gai Aur naashta kar k Unhon nay kaha k chalo ghoomnay chaltay hain.......
Ghoomna kya tha Pata nahi kon C choti choti nadion main laa gai Jahaan log Gaain-bheson k saath nahaaa rahaa thay Aur saath hi Aaam khaa rahaay thay yeh un ka enjoyment tha.........Aur pata nahi konsaay baagh dikhai jaa rahay hain jiss main Fruit thay lakin ek Bachi tak nazar nahi i wahaan.......
Itnay ghantaay ghooma Jab ghar wapis aya tu dekha Sirf Subah k duss bajaay hain abhi tak! Zindagi ki iss Ahista raftaar Aur apnay saamnay ka Mahool dakh kar mari Ankhon main Aansoo agai....Aur jo main nay socha tha k main hafta guzaarun ga Main Doosray din ki pehli Train Paker kar Rawana hogya.......
Aaj tak samajh nahi I k Uss banday nay kya soch kar kaha tha k Tum gaon dekho gay tu sab bhool jao gay........
hahhahahhahaha han udher ki life lgti lmbi hi hai.but dear enjoyment akaily ni aati family sath ho ya or dost wghaira tb mza aata hai wrna akaila sheher ka bnda to gwachi gaan werga lgta hai.hahahaha.....bi maira to udher nanhyal hai mai to jb jaon bohat enjoy krti hon sb k sath koi bore hi ni hony daita mamon jhola daal daity hain,phir mzy mzy k daisi khanay aaha ha...or khas kr jb mil jul k mzy dar c biryani ya gur waly chawal achar k sath rkh k hum muraby jatay hain or udher hi aam khana,chai pina thndi thndi hwa mai or tube well mai hlla gulla krna just luvly!! .... but yup family ya friends hon tb )
Raza lagta hai tumah villagers bilkul nai pasand . Tumhrey nazadiak wo unparh ya ganwar type ke log hoty hain but apna knowledge update kar lo mostly villagers tum se bhi ziada educated hain . Tum ne just abhi C.A start kia hai but Kuch villagers to qualified bhi kar chuky hain ya tum se bhoot agey hain.