09-25-2005, 09:59 PM
Jo utar key ziinaa-e-shaam sey terii chashm-e-Khush mein samaa gaye
Wohii jalate bujhate sey mahar-o-maah merey baam-o-dar ko sajaa gaye
Yeh ajiib khel hai ishq kaa main ney aap dekhaa yeh moajezaa
Woh jo lafz merey gumaan mein thy Woh terii zubaan par aa gaye
Woh jo giit tum ney sunaa nahiien merii umer bhar kaa riyaaz thaa
Merey dard kii thii daastaan jisey tum hansii mein uraaa gaye
Woh charaaG-e-jaan kabhii jis kii lau na kisii havaa sey niguun hueii
Terii bevafaaei key vaasavaay usey chupake chupake bujhaa gaye
Woh thaa chaand shaam-e-visaal kaa key thaa ruup tere jamaal kaa
Merii ruuh sey merii aankh tak kisii raushanii mein nahaa gaye
Yeh jo bandagaan-e-niyaaz hai yeh tamaam hai woh lashkarii
Jinhein zindagii ney amaan na dii to terey huzuur mein aa gaye
Terii beruKhii key dayaar mein main hawaa ke saath hawaa huvaa
Terey aaiine kii talaash mein merey Khwaab cheharaa ganwaa gaye
Terey Waasavaaon key fishar mein teraa sharar-e-rang ujar gayaa
Merii Khwaahishon key Gubaar mein merey maah-o-saal-e-vafaa gayey
Woj ajiib phuul sey lafz thy terey honTh jin sey mahak uThy
Merey dasht-e-Khvaab mein duur tak koeii baaG jaisey lagaa gaye
Merii umr sey naa simaT sake merey dill mein itaney sawaal thy
Tere paas jitaney jawaab thy terii ek nigaah mein aaa gaye
Ibri