06-16-2006, 03:39 PM
chaar soo nazr-e-tahayyurr main jahan deikhta hoon
har kisi ko main yahan mehv-e-fughan deikhta hoon
chaltey phirtey sey saheefey ye tasavvuff key badan
zehnon mein paltey huey wehmo-gumaan deikhta hoon
kya khabar ! aaj samandar ki khamoshi tootey
yun hi chup chaap khara tarz-e-bayaan deikhta hoon
haath phailaayey khara hai to khara hai koi
us ki jaanib to bhala main bhi kahan deikhta hoon !
Love is Life !