09-14-2006, 08:54 PM
apney maazi ko hi seenay sey lagayey phirna
khushk honton per tabassum ko sajayey phirna
khawbon ka chhatt per tehelna zindagi ki raat mein
raat bhar tanhai ki shamma jalayey phirna
yun hi kabhi fikr-e-gham-e-dauraan sataayey bhi; aur
aankhein num honay lagein to gungunayey phirna
roz chehrey per naya chehra sajayey rakhna
koi khushi jhooti sahi dil ko lagayey phirna
bojh hota gar ghamon ka; hum utha bhi letay
zindagi ka bojh kandhon per uthayey phirna
kya kahein; kis sey kahein; weraaniyan ye dil ki
un-ginat gham hain magar dil mein chupaayey phirna
ab to aadat ho gayee hai sub sey hans ke bolna
jaisey kaisey ho sakey, sub sey nibhayey phirna
aey khuda ab to meri dharkan khmosh ker dey
mugh ko raas aata nahin tera jagayey phirna