01-29-2007, 01:18 AM
Tukron mai bikhra hua, kisi ka Jigar dikhayenge
Kabhi aana Hamari Basti, Tumhe apna Ghar dikhayenge
Hont kaanp jaate hain, Thar-Tharaati hai Zabaan
Toote Dil se nikli hoi, Aahon ka asar dikhayenge

Ek Pohunch pata nahi, Ek aur Chhalak jaata hai
Palkon se Daman tak ka, Ashqon ka Safar dikhayenge

Kahin Tasveer hai Teri, Kahin likhaa hai Tera Naam
Mandir-Masjid jitna Paak, Ek Deewar-o-Dar dikhayenge

Aksar takti rehti hai, Sunsaan Raahon ko Sanam
Darwaaze par bethi hoi, Sapno ki Nazar dikhayenge