02-01-2007, 10:50 PM
usay apnay farda ki fikar thee,woh jo mera waqif-e-haal thaa
woh jo uski subhe arooj thee,wohi mera waqt-e-zawal thaa
mera dard kesay woh janta ,Mere baat kaisay woh manta
woh to khud fana kay safar mein thaa,usay rokna bhe muhaal thaa
mujhay chor kar kahan jaao gay,usay pooch pooch kar thak gaya
woh jawab bhee naa dae saka,woh to khud sarapa sawal thaa
woh jo uskay samnay aa gaya,wohee roshanee mein naha gaya
ajab us kaa haibat-e-husan thaa,ajab uska rang-e-jamal thaa
dam-e-wapsi par kiya hua,naa woh roshani naa woh tazgee
woh sitara kaisay bikhar gaya,woh to aap apni misaal thaa
woh mila to sadiyon kay baad bhi,meray lab pae koi gilaa na thaa
usay mere chup nay rulaa diya,jisay guftagu mein kamal thaa
woh mujh se mil kar ro diya,mujhay faqt itna woh keh saka
jisay janta thaa woh zindage,woh to sirf vehm-o-khayal thaa