02-16-2007, 06:06 PM
<font face="Comic Sans MS"></font id="Comic Sans MS"><font size="5"></font id="size5">[teal
Kahan aa ke rukne thay raastey,kahan maur tha usey bhool ja
Woh jo mil gaya usey yaad rakh,jo nahi mila usey bhool ja
Woh terey naseeb ki baarishein kisi aur chatt pe baras gayein
Dil e bekhabar meri baat sun,usey bhool ja ussey bhool ja
Mein tou gum tha terey hi dhiyaan mein,teri aas terey gumaan mein
Saba keh gayi merey kaan mein,merey sath aa usey bhool ja
Kisi aankh mein nahi ashq e ghum,terey baad kuch bhi nahi hai kam
Tujhey zindagi ne bhula dia,tu bhi muskura usey bhool ja
Kahin chaak e jaan ka rafu nahi,kisi aasteen pe lahu nahi
Ke shaheed e raah e malaal ka,,nahi khoon baha,usey bhool ja
Kyun atta howa hai ghubaar mein,gham e zindagi ke fishaar mein
Wo jo darj tha terey bakht mein,so woh ho gaya usey bhool ja
Na woh aankh he teri aankh thee,na wo khawb hi tera khawb tha
Dil e muntazir tou ye kis liye,tera jaagna,usey bhool ja
Ye jo raat din ka hai khail sa,isey dekh is pe yaqeen na kar
Nahi aks koi bhi mustaqil,sar e aaina,usey bhool ja
Jo basaat e jaan hi ulat gaya, wo jo raastey mein palat gaya
Usey rokney se hasool kya,usey mat bula,usey bhool ja
Tou ye kis liye shab e hijr ke usey har sitaarey mein dhondna
Wo falak ke jis pe miley thay hum,koi aur tha,usey bhool ja
Tujhey chaand ban ke mila tha jo,terey sahilon pe khila tha jo
Tha woh aik darya wisaal ka,so utar gaya,usey bhool ja