02-23-2007, 02:32 PM
Sun liya hum ne faisla tera
Aur sun kar udaas ho baithay
Zehn chup chaap aankh khali hai
Jaise hum kainaat kho baithay
Dhundley dhundley se manzaron mein magar
Chhairti hein tajalliyan teri
Bholi bisri hoi rutton se udhar
Yaad aayein tasalliyan teri
Dil ye kehta hai zabt lazim hai
Hijr ke din ki dhoop dhalney tak
Aitaraf e shikast kya karna
Faisley ki gharri badalney tak
Dil ye kehta hai hosla rakhna
Sung rastey se hatt bhi saktey hein
Iss se pehle ke aankh bujh jaye
Jaane waley palat bhi saktey hein
Abb charaghan karein hum ashkon se
Ya manazir bujhey bujhey dekhein
Ik taraf tu hai ik taraf dil hai
Dil ki maanein ya ab tujhey dekhein
Khud se bhi kashmakash si jaari hai
Raah mein tera ghum bhi haayal hai
Chaak dar chaak hai qabay e hawaas
Berafu soch rooh ghaayal hai
Tujh ko paaya tou chaak see lein gey
Ghum bhi amrat samajh ke pee lein gey
Warna yun hai ke daaman e dil mein
Chand saansein hein ginn ke jee lein gey
Aur sun kar udaas ho baithay
Zehn chup chaap aankh khali hai
Jaise hum kainaat kho baithay
Dhundley dhundley se manzaron mein magar
Chhairti hein tajalliyan teri
Bholi bisri hoi rutton se udhar
Yaad aayein tasalliyan teri
Dil ye kehta hai zabt lazim hai
Hijr ke din ki dhoop dhalney tak
Aitaraf e shikast kya karna
Faisley ki gharri badalney tak
Dil ye kehta hai hosla rakhna
Sung rastey se hatt bhi saktey hein
Iss se pehle ke aankh bujh jaye
Jaane waley palat bhi saktey hein
Abb charaghan karein hum ashkon se
Ya manazir bujhey bujhey dekhein
Ik taraf tu hai ik taraf dil hai
Dil ki maanein ya ab tujhey dekhein
Khud se bhi kashmakash si jaari hai
Raah mein tera ghum bhi haayal hai
Chaak dar chaak hai qabay e hawaas
Berafu soch rooh ghaayal hai
Tujh ko paaya tou chaak see lein gey
Ghum bhi amrat samajh ke pee lein gey
Warna yun hai ke daaman e dil mein
Chand saansein hein ginn ke jee lein gey