02-24-2007, 04:40 PM
"TUM UDAAS MATT HONA"
saahil e samandar par
bekinaar tanhayi
shaam cheen leti hai
ishq ki riwayat bhi
ghum ki shahrahon par
apne apne raahi ka
naam cheen leti hai
dil se dunyadaari ka
kaam cheen leti hai
zindagi ki ghaaton mein
dard chupp ke baitha hai
khaas khaas mauqa par
jaan o dil pe jhaptey ga
bekinaar raaton mein
hijr chupp ke baitha hai
khawb ke darakhton par
tehniyon se liptey ga
sang dil zamaney ki
kaat daar baaton mein
aag chupp ke baithi hai
aik aik chingaari
rooh ko jalati hai
zindagi ki nagri mein
gaam gaam par jaana'n
almiye utartey hein
saanehe bikhartey hein
kon kon sa rona
kaise kaise ro'oo gey
kon kon sa daaman
bezubaan ashko'n se
kab talak bigho'oo gey
kon kon sa dukhrra
aik aik lamhey ko
kis tarah sunao gey
kaise kaise zakhmo'n ko
raaegaa'n dilaaso'n se
kab talak sulao gey
iss tamaam aalam mein
jaagtey bhi rehna hai
zindagi bhi sehna hai
haal e dil bhi kehna hai
haal e dil se ghabra kar
rooh ki zamino'n par
ranjisho'n ko matt bona
ghum ki lehr mein behh kar
jaise haarney waley
bekinaar rotey hein
iss tarah se matt rona
tum udaas mat hona