02-28-2007, 02:32 AM
"BHALI SI IK SHAKAL THEE......"
bhaley dino'n ki baat hai
bhali si ik shakal thee
na ye ke husn e taam ho
na dekhney mein aam si
na ye ke wo chaley tou kehkishaa'n si raahguzar lagey
magar wo saath ho tou phir bhala bhala safar lagey
koi bhi rutt ho uss ki chhab
fiza ka rang roop thee
wo garmiyon ki chhaaon thee
wo sardiyon ki dhoop thee
na mudd'aton juda rahey
na saath subh o shaam ho
na rishta e wafa pe zid
na ye ke izn e aam ho
na aisi khush libaasiyaa'n
ke saadagi gila karey
na itni betakallufi
ke aaiyna haya karey
na ehtalaat mein wo ramm
ke bad maza ho'n khawhishein
na iss qadar sapurdagi
ke zich karein nawazishein
na aashiqi janoon ki
ke zindagi azaab ho
na iss qadar kathor pan
ke dosti kharab ho
kabhi tou baat bhi khafi
kabhi sakoot bhi sukhan
kabhi tou kisht e zaafraa'n
kabhi udaasiyo'n ka bann
suna hai aik umr hai
muaam'laat e dil ki bhi
wisaal e jaa'n fiza tou kya
furaaq e jaa'n gussal ki bhi
so aik roz kya hoa
wafa pe behs chhirr gayi
mein ishq ko amar kahon
wo meri zid se chirr gayi
mein ishq ka aseer tha
wo ishq ko qafas kahey
ke umr bhar ke saath ko
wo bad'tar az hawas kahey
shajar hajar nahi ke hum
hamaish paa be gill rahein
naa dhaul hein ke rassiyaa'n
galey mein mustaqil rahein
mohabbato'n ki wus'atein
hamarey dast o paa mein hein
bas aik dau se nisbatein
saggaan e baawafa mein hein
mein koi painting nahi
jo ik frame mein rahoo'n
wohi jo mann ka meet ho
ussi ke praim mein raho'n
tumhari soch jo bhi ho
mein uss mizaaj ki nahi
mujhey wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahi
naa uss ko mujh pe maan tha
na mujh ko uss pe zo'am hi
jo ehad hi koi na ho
tou kya gham e shikastagi
so apna apna raasta
hasi khushi badal liya
wo apni raah chal parri
mein apni raah chal diya
bhali si ik shakal thee
bhali si uss ki dosti
abb uss ki yaad,raat_din
nahi, magar,kabhi_kabhi
bhaley dino'n ki baat hai
bhali si ik shakal thee
na ye ke husn e taam ho
na dekhney mein aam si
na ye ke wo chaley tou kehkishaa'n si raahguzar lagey
magar wo saath ho tou phir bhala bhala safar lagey
koi bhi rutt ho uss ki chhab
fiza ka rang roop thee
wo garmiyon ki chhaaon thee
wo sardiyon ki dhoop thee
na mudd'aton juda rahey
na saath subh o shaam ho
na rishta e wafa pe zid
na ye ke izn e aam ho
na aisi khush libaasiyaa'n
ke saadagi gila karey
na itni betakallufi
ke aaiyna haya karey
na ehtalaat mein wo ramm
ke bad maza ho'n khawhishein
na iss qadar sapurdagi
ke zich karein nawazishein
na aashiqi janoon ki
ke zindagi azaab ho
na iss qadar kathor pan
ke dosti kharab ho
kabhi tou baat bhi khafi
kabhi sakoot bhi sukhan
kabhi tou kisht e zaafraa'n
kabhi udaasiyo'n ka bann
suna hai aik umr hai
muaam'laat e dil ki bhi
wisaal e jaa'n fiza tou kya
furaaq e jaa'n gussal ki bhi
so aik roz kya hoa
wafa pe behs chhirr gayi
mein ishq ko amar kahon
wo meri zid se chirr gayi
mein ishq ka aseer tha
wo ishq ko qafas kahey
ke umr bhar ke saath ko
wo bad'tar az hawas kahey
shajar hajar nahi ke hum
hamaish paa be gill rahein
naa dhaul hein ke rassiyaa'n
galey mein mustaqil rahein
mohabbato'n ki wus'atein
hamarey dast o paa mein hein
bas aik dau se nisbatein
saggaan e baawafa mein hein
mein koi painting nahi
jo ik frame mein rahoo'n
wohi jo mann ka meet ho
ussi ke praim mein raho'n
tumhari soch jo bhi ho
mein uss mizaaj ki nahi
mujhey wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahi
naa uss ko mujh pe maan tha
na mujh ko uss pe zo'am hi
jo ehad hi koi na ho
tou kya gham e shikastagi
so apna apna raasta
hasi khushi badal liya
wo apni raah chal parri
mein apni raah chal diya
bhali si ik shakal thee
bhali si uss ki dosti
abb uss ki yaad,raat_din
nahi, magar,kabhi_kabhi