03-05-2007, 05:03 PM
mohabbat aus ki soorat.............
piyaasi pankhari ke haunt ko seraab karti hai
gulo'n ki aasteeno'n mein anokhey rang bharti hai
sahar ke jhutpatey mein gungunaati,muskuraati,jagmagati hai
mohabbat ke dino'n mein dasht bhi mehsoos hota hai
kisi firdaus ki soorat..............
mohabbat aus ki soorat..............
mohabbat abr ki soorat..............
dilo'n ki sarzamee'n pe ghir ke aati aur barasti hai
chaman ka zarra zarra jhoomta hai, muskuraata hai
azal ki benamu mitti se sabza sar uthata hai
mohabbat un ko bhi aabaad aur shaadaab rakhti hai
jo dil hein qabr ki soorat...........
mohabbat abr ki soorat...............
mohabbat aag ki soorat...............
bujhey seeno'n mein jalti hai tou dil bedaar hotey hein
mohabbat ki tapish mein kuch ajab israar hotey hein
ke jitna ye bharakti hai uroos e jaa'n mehakti hai
dilo'n ke saahilo'n pe jama'a hoti aur bikharti hai
mohabbat jhaag ki soorat..............
mohabbat aag ki soorat................
mohabbbat khawb ki soorat.............
nigaaho'n mein utarti hai kisi maahtaab ki soorat
sitaarey aarzu ke iss tarah se jagmagatey hein
ke pehchaani nahi jaati dil e betaab ki soorat
mohabbat ke shajar par khaab ke panchhi utartey hein
tou shaakhein jaag uthti hein
thakey haarey sitaarey jab zami'n se baat kartey hein
tou kab se muntazir aankho'n mein sham'ein jaag uthti hein
mohabbat un mein jalti hai
chiraagh e aab ki soorat...............
mohabbat khawb ki soorat...............
mohabbat dard ki soorat................
guzishta mausamo'n ka ista'aara ban ke rehti hai
shabaan e hijr mein roshan sitara ban ke rehti hai
mandero'n par chiraagho'n ki lo'ein par thartharati hein
nagar mein naaumedi ki hawaein sansanaati hein
gali mein jab koi aahat koi saaya nahi rehta
dukhey dil ke liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
ghamo'n ke bojh se jab tootne lagtey hein shaney tou
ye unn pe haath rakhti hai
kisi hamdard ki soorat..................
mohabbat dard ki soorat.................
guzar jaatey hein saarey qaafley jab dil ki basti se
fiza mein tairti hai dair tak ye gard ki soorat