03-10-2007, 04:28 AM
hijr-e-jana ki ghari achi lagi
ab ke tanhai bari achi lagi
qarya-e- dil par udasi ki tarah
dund ki chadar pari achi lagi
aik tanha faakhta urti howi
ek hiran ki chokri achi lagi
zindagi ki ghup andheri rat mein
yad ki aik phuljhari achi lagi
shehr-e-dil aur itne logo ka hujoom
woh alag sab se khari achi lagi
aik shehzadi magar dil ki faqeer
us ko meri jhonpari achi lagi
dil mein a bethi ghazal si woh ghazhaal
yeh tassavvar ki ghari achi lagi
tera dukh, apni wafa, kaar-e-jahan
jo bhi shay mehangi pari achi lagi
ankh bhi barsi bohat badal ke saath
ab ke sawan ki jhari achi lagi
yeh ghazal mujh ko pasand ayi faraz
yeh ghazal us ko bari achi lagi
ab ke tanhai bari achi lagi
qarya-e- dil par udasi ki tarah
dund ki chadar pari achi lagi
aik tanha faakhta urti howi
ek hiran ki chokri achi lagi
zindagi ki ghup andheri rat mein
yad ki aik phuljhari achi lagi
shehr-e-dil aur itne logo ka hujoom
woh alag sab se khari achi lagi
aik shehzadi magar dil ki faqeer
us ko meri jhonpari achi lagi
dil mein a bethi ghazal si woh ghazhaal
yeh tassavvar ki ghari achi lagi
tera dukh, apni wafa, kaar-e-jahan
jo bhi shay mehangi pari achi lagi
ankh bhi barsi bohat badal ke saath
ab ke sawan ki jhari achi lagi
yeh ghazal mujh ko pasand ayi faraz
yeh ghazal us ko bari achi lagi