07-22-2009, 03:16 PM
aik dafa ke zikar hay,aik ghar main mian,bewi or un ke bachy raha kerty the.is ke alawa un ka borha nokar Bakshoo bhi raha karta tha.Bhkshoo mian Begam saiba ki shadi se pehly in ke mian ke pas tha.or ab tak barabar ki khidmat kar raha tha.bechara tankhoa kya leta tha.bas pan cigrate ka kharcha or khana kapra'dawa or sir par chat is ke liye bohot tha.ajeeb sa rawaya tha naraz hota to do char din ke liye apni khatri utha kar chala jata or phir wahin wapis aa jata tha.bachon ko school se le jana or soda salaf wagera b lana isi ke kam main shamil tha.
is daffa bhi bakshoo mian ne chale jane ki dahmki woh kuch kehna chahata tha par Begam sahiba ne aik na suni or kehne lagi ke mera damag na khao.agar yahan rehna hay to wse hi rehna pare ga jese main kahon gi.darwaza band hote dekh kar woh chup ho gai.or palastic ki salaion par oon ke phondon ko bona shoro kiya.itne main phir darwaze ke kholne ki awaz aai or Bakshoo mian kuch kehna chahata tha par Begam phir boli ke kya phir se dhamki do ge.jana hay to chale jao tum kya samajte ho main kaam nahi kar sakti ,sara din to main damag khapati hun ghar ke kamon main tum kya karte ho?
bakshoo mian wahan se chala gya.Begam us ko rokna chahati thi ke ab ye bechara ka jaye ga is umar main.Begam saiba dhak ki marez thi.muh bhar esi khansi aai ke woh bathroom ki taraf bhagin khansi kar thoka to balgam main khon ki surkh dhari chamki.woh ghabra gain or kehne lagi ke shahid zukam bigar gya hay.phir sochne lagi ke maijn itni chirchiri kune ho gai hun kehne lagi shahid bukhar ki waja se hay.
achanak mian andar aye to woh befikri dekha rehy thin.woh sakht lehje main bole ke Bakshoo mian ko phir nikalne ki kosish ki hay tum ne.woh to main aaj daftar nahi gya to main ne bakshoo mian ko main ne dekh liya or un ko wapis le aya.woh berokhi se boli ye jhagre to bar bar hi hun ge.
mian ne bakshoo mian ko kaha ke shaam ko ghar main mehman aa rehy hain bahir se samose let ana,kune ke ghar main to kuch dhang ka ban nahi sakta.Begam saiba boli wah meri bhi to koi izat hay,jese Bakshoo mian hi sare ghar ka kaam karte hain.sara din main damag khapati hun or naam bakshoo mian ke,woh mian ke pas bahir gain par mian skoter start kar ke daftar chaly gye.Begum aa kar rone lagi rone se jab dil ka man halka hoa to bemari ke bawajood kaam main lg gai sare kaam kiye or sath main dil hi dil main kurti rehin or roshan dan main lage chiria ke gonsale ko rehne diya kune us main chitia ke bachay the,jhar ponch kar rehi thi sath main khans b rehi thi or dil main soch b rehi thi ke mian ko mera bilkul kehyal nahi,jab main mar jaon gi tab meri kadar aye gi,phir sicha agar main mar gai to mere bachon ka kya ho ga.bachon ko maan hi sambhalti hay,aaj to woh guse main paise dena hi bhool gye.Begam ne almari kholi to us main kuch paise the.Bakshoo mian ko jaldi se ande lane ko kaha oor bache bhi school se wapis aa gye unho ne khana khaya or Pappo ne to nai sweter bhi pehn li Bakshoo mian samose bhi le aye.
jab sham ko mian aye to woh neend main pasene se naha chuki thi.uthna chaha par utha nahi ja raha tha.inhein sehan main mian ke rishte ki phoppi or un ki polio se langari bewa beti ki awazein sunai dene lagin.or phir prosan khala or un ke sohar ki jani pehchani awaze sonai dene lagin.han to ye hain humare kismat ke mahman jab larein gain to inhein ko faisale ke liye bolain gain.or woh un ke kalark dost bhi to aye gain han main han milane.
asal baat to yeh thi ke aapas main mian bewi ki bilkul nahi lagti thi Begam bemar hone ke bawajod mehmano main aa kar beth gain .phir mian bewi main nok jhok shoro ho gai.mehman jab chaye piyne lage to achanak kamre main chiria roshan dan se takrai.
ab mian bewi bhir jhagarne lage.mian bhi tane dete rehy or bewi bhi apni safai deti rehin.phoppi or dosre mehman bi mian ki tarafdari karte rehy.mian guse main bol rehy the.tumhare pas kya nehi hay?shokar nahi karti ho naye makan main bethi ho.tumhein khane ko nahi milta.pehne ko kaprah nahi?dawa alaj nahi hota?or kya pouchon batao na?Begam bolien ghar ke tane raat din sunti hun.jese ghar inho ne banwaya hay raat din khare ho kar.Aaray agar main na hoti to ye ghar banta .Apna bate kata jee mara,main ne to apne provident fund ka paisa bhi is main dal diya.chay tole sone ka set tha mere jehez ka woh bhi bach kar is main dal diya,apni das saal ki teaching chori shadi ke bad.
Akhar larai main shidat ati gai,mian bole main ticket le aya hun karachi ka tum do ek mahene apni behan ke ghar reh aao.Begam boli aap or bachay mian ne kaha ke woh chachi sambhal lein gi.Bewi boli ke main apna ghar kese ke hath kune chor kar jaon main nahi jaon gi mian sakt guse main the unho ne jhat se bewi ko kaha main tumhein talak deta hun.Talak.
woh ye sun kar maze par beth gain mian tas se mas nahi hoa.or prosan khala ne is ko zor laga kar maze par se uthaya or un ke sir par telr ki lal chadar dal di,bewi ne hath main pehni to un ke jahez ki thi utar kar maze par rakh di or sir se chadar bhi utar kar maze par rakh di.or dosre kamre main chali gai .Or darwaza band kar diya.ab ghar main khamoshi or surma ki shaam ka andhera utar raha tha.mian ne hath barha kar bejli ka bulb roshan kiya to chiria phar pharane lagi.mian ne bahir jane wala darwaza khol diya ke chira gunsale tak ka rasta kuth talash kar leti hay.goya isi tarhan bewi bhi ghar se rukhsat hoin.