09-07-2010, 03:03 AM
Train Wali baat say Ek baat yaad i, takreeban duss-bara saal ho chukay hain isay bhi, Pakistan main kisi uncle nay kaha k chalo tumhain apna gaaon dikhatay hain kya iss karachi k Shor-sharabay main jee rahay ho humara gaon dekho gay tu yeh sab bhool jao gay.
KHar main Chala gya, Gaon phoncha Mushkil say Dairr din guzara buss. Woh Dair-din mari zindagi k shayad sab say barray Dair-din thay. Itni ajeeb zindagi k damagh kharaab ho gya.Suba 6 bajaay wahaan sab uth gai Aur naashta kar k Unhon nay kaha k chalo ghoomnay chaltay hain.......
Ghoomna kya tha Pata nahi kon C choti choti nadion main laa gai Jahaan log Gaain-bheson k saath nahaaa rahaa thay Aur saath hi Aaam khaa rahaay thay yeh un ka enjoyment tha.........Aur pata nahi konsaay baagh dikhai jaa rahay hain jiss main Fruit thay lakin ek Bachi tak nazar nahi i wahaan.......
Itnay ghantaay ghooma Jab ghar wapis aya tu dekha Sirf Subah k duss bajaay hain abhi tak! Zindagi ki iss Ahista raftaar Aur apnay saamnay ka Mahool dakh kar mari Ankhon main Aansoo agai....Aur jo main nay socha tha k main hafta guzaarun ga Main Doosray din ki pehli Train Paker kar Rawana hogya.......
Aaj tak samajh nahi I k Uss banday nay kya soch kar kaha tha k Tum gaon dekho gay tu sab bhool jao gay........
Regards.