09-29-2010, 04:48 PM
Hadith
A content from âMuslimâ
Under title â<b>Maangna hain tu apny Allah sy maang</b>â
Abuzar Ghafari (R.A) sy riwayat hai keh woh Nabi e Karim (S.A.W) sy riwayat karty hain, aur Aap (S.A.W) apny Rab Taala sy riwayat karty hain keh Allah Taalah ny irshad farmaya
âMery bando! Main ny apni zaat par zulm ko haram qara dy dia hai aur issy tumhaary darmyan bhe haram qarar dy dia tu tum aapas mai ek doosry par zulm na karoâ Mery Bando! Tum tamam gumrah ho magar jisy main hidayat dy don mujh sy hidayat talab karo tumhain main hidayat don ga.
Mery bando! Tum sab bhooky ho, magar jisy main khana khila don tout um mujh sy khana talab karo main tumhain khana khilaon ga. Mery Bando! Tum sab barhana ho tum mujh sy libas talab karo main tumhain libaas don ga.
Mery band! Tum raat din khata karty ho aur main tamam gunahon ko bakhsh daita hon. Mujh sy bakhshish talab karo main tumhain bakhsh don ga.
Mery bando! Tum mujhy hargiz koi nuksaan nahe pohncha sakty aur na he tum mujhy koi faida pohncha sakty ho.
Mery bando! Agar tumhary agly pichaly, log insaan aur jin tum main sab sy ziada naik dil insaan ka roop dhaar lain tou iss sy meri saltanat main kuch izafa nahe ho ga.
Mery bando!Agar Tumhary agly pichly log insaan aur jin tum main sab sy buray dil waly shakhs ka roop dhaar lain tou iss sy meri saltanat mai kuch bhe kami waqia nahe ho ge.
Mery bando! Tumhary agly pichly log insaan aur jin ek chatiyal maidan main khary ho jain aur who mujh sy maangain aur main in main sy har ek ko in ki talab k mutabiq dy don to iss sy mery khazany main itni bhi kami waqiah nahe ho ge jitni samandar main sui daboony sy iss k paani main kami waqiah hoti hai.
Mery bando! Main tumhary aamal tumhari khatir shumaar karta hon. Phir main tumhain iss ka pura pura badla don ga. Jissy khair o bhalai muyasir ho wo Allah ka shukar adaa kary aur jisy khair muyasir na ho who apny aap ko malamat kary. (Bahawala Muslim)