11-03-2010, 04:33 PM
Yaar esa do baar hi hua hay.......Ek martaba meray ek bohat acha dost tha jiss k saath bohat quality time spend hua tha takreeban 5 sal tak......Phir thoray ghaplay aur maslay shruu ho gai thay........Then one day he said......Yaar Aaj kal hum logon ki bunn nahi rahi hay iss liay main soch raha hun k khatam kia jai iss dosti ko.......Phir dobara mulakat nahi hui.......Lakin phir bohat arsay baad salam dua hui thi buss.
Second time, Esa hua k ek dost tha jiss k saath 4 saal kafi dosti rahi phir 3 saal mulakat nahi hui for some obvious reasons, phir 3 saal k baad uss ko kai say mera number mila tu khair-khairat lenay k baad uss nay poocha kab mil rahay ho........Tu mainay mana kar dia yeh keh kar yaar Dil main nahi rakhna lakin abb main milna nahi chatha.....phir uss k baad baat nahi hui.
Regards.