12-20-2004, 01:21 AM
Here is a ghazal by Mohsin Naqvi
Habs-e-duniya se guzar jaate hein
Aisa karte hein keh mar jaate hein
kaise hote hein bicharney waalay
hum yeh sochein bhi to dar jaate hein
Dil jo tootay to sar-e-mahfil bhi
Baal be-wajah bikhar jaate hein
Ab na dekho meri banja aankhein
Chartay dariya bhi utar jaate hein
Tum Kahan jaao ge socho Mohsin
Log thak haar keh ghar jaate hein
Habs-e-duniya se guzar jaate hein
Aisa karte hein keh mar jaate hein
kaise hote hein bicharney waalay
hum yeh sochein bhi to dar jaate hein
Dil jo tootay to sar-e-mahfil bhi
Baal be-wajah bikhar jaate hein
Ab na dekho meri banja aankhein
Chartay dariya bhi utar jaate hein
Tum Kahan jaao ge socho Mohsin
Log thak haar keh ghar jaate hein