10-16-2010, 03:27 AM
Aray Bhaio, aik din main 17 posts, wo bhi aik choti si baat par.
Bhaio, mujhay maloom hay aap sab ko buhat achi angrezi likhni aati hay magar aap sab say aik guzarish hay. Bhai, iss forum ko sirf Pakistani hi nahi parhtay balkay bahar kay ghair Pakistani log bhi parhtay hain, chahay wo contribute karain ya nahin karain. Zara sochain kay wo kia sochtay hongay aur kaysay hanstay hongay ham par. Khas tur par jab ham Pakistan aur iss forum ki achi image reflect karna chahtay hain. Wo kia sochtay hongay kay ham kaysay parhay likhay hain kay zara si tili dikhai nahi kay phat paray. Bhai, mayri request yah hay kay agar koi buhat hi mutanazia baat karni ho tu please zara Urdu main baat karlia karain. Omeed hay aap sab thanday dil o dimagh say ghor karain gay.
Bhaio, aap sab nay kaha kay aap ko koi farq nahi parta kay koi kia sochta ya samjhta hay. Mujhay aap ki baat say itifaq hay, magar bhaio, dunya ko ham kia message bhaij rahay hain, kion doosron ko hasnay ka moqa daytay hain. Aap sab Pakistan main rahtay hain iss liay shayad aap ko iss baat ka itna andaza na ho, magar bhai aap sab iss forum aur dosray tamam Pakistani forums kay zaryay aik global village main baythay hain. Agar dosray apkay saath interact nahi karrahay, tu iska yah matlab nahi kay wo apko daykh, sun (listen), ya parh bhi nahi rahay. Bhai, larai kay bhi kutch tareeqay hotay hain, jab ghar say awaz bahar jay tu muhallay walay bhi mazay laytay hain. Phir inhi baton ki waja say bayshumaar puranay Pakistani members shayad iss forum ko chor kar ja chukay. Or shayad kai readers bhi issi liay contribute karnay say ijtinaab kartay hongay.
Aakhir kab ham sab apni ghaltion say kutch seekhna shuroo karain gay?
Boss Bhai Main iss thread par kutch likhna nahi chahta tha, magar aap nay mayra naam bhi likh dya hay. Bhai, awal tu kisi makhsos thread par kisi member kay mayray saath agree karnay ka matlab yah tu nahi hay kay wo member har thread par har doosray member kay saath bhi agree karay gay, ya wo kisi dosray thread par bhi mayray saath agree karay ga. Bhai, agreement tu kisi kisi baat par kisi kisi jaga hota hay, nakay universal agreement.
Dear All Please kam az kam mayra naam reference main nahi dya karain. Aap sab ki mujh par ain nawazish hogi. Mujhay tu pahlay hi forum members bahar rahnay wala un-effected person samjh kar dehan nahi daytay. Kam az kam mujhay mazeed tu disputed na banai. Mazeed yah kay agar koi general message dayna bhi hoa karay, jaysay aik aur thread par accountancy forum kay baray main aik sahib nay apna perception byan kia hay aur os thread ka iss thread main bhi oper reference dya gya hay, tu kam az kam kisi forum member ka reference daynay say gurez kia karain, kionkay yah reference aik nai larai ko janam dayta hay. Bhai, apkay iss forum kay baray main general perception ko parhnay walay kisi member ka reference dyay bhaghair bhi samajh jain gay.
Bhai Awais Bhai bura mat manyay ga. Main aapkay contribution ko appreciate karta hun. Magar 2 saal pahlay bhi aap MashAllah kafi parhay likhay thay, oss waqt bhi aapko zara ahtyat karni chayay thi. Professional forums par readers ki expectation zara zyada hoti hay. Kisi bhi baat ko aap apnay alfaaz main byan karsaktay hain. Baqi, Admin kay kahnay kay baad mayra mazeed kutch kahna baykaar hay.
Bhai KamranACA Bhai, omeed hay aap bhi mayri baat par thanday dil say ghor karain gay. Bhai ham sab yahan sirf discussion hi karahay hotay hain. Aksar kisi baat ko buhat toool daynay say bhi kahi gai baat apna maqsad aur asar kho dayti hay. Phir har reader ki apni samjh ka level bhi hay. MashaAllah, aap kafi senior hain, students ko apni baat narmi say samjhain tu zyada asar hoga. Aur agar koi aapkay khyal main ghalat baat karnay par musir hi hotu muskura kar guzar jain. Bhai, phir english hamari madri zaban bhi nahi hay, writers say kabhi aysay alfaaz bhi istimaal hosaktay hain jo apkay khyal main misleading hun, tu kam az kam aap english kay madri zaban na honay ka advantage hi day dain. Jahan tak CCG kay thread ka taluq hay tu Awais nay relevant website ka reference bhi dya tha, aur CCG kay baray main koi tafseel bhi nahi likhi thi, tu issay Awais ka kaam assume karna kafi dur-az-kaar aur subjective baat hay. Bhai itni baat tu reader bhi samjhta hay kay CCG par original work kisi aur ka hay, nakay Awais ka. Haan agar hamain tanqeed hi karni hay tu phir tu koi yah swal bhi otha sakta hay kay Pakistan main har tarha ki knowledge including CCG main kitni percent hamari original contribution hay aur kitni bahar say li gai hay. Phir bhai, kam az kam mayri tu poori zindagi main nay jo bhi taleem hasil ki aur parha hay wo tamam kay tamam kisi aur insanon kay develop kiay hoay ideas hi hain. Haan ham sab hi apnay apnay mutabiq onko parhtay, samjhtay aur istimaal kartay hain. Ham main say kon hay jo yah kah sakta hay kay jo bhi mayray ideas hain, wo sab mayray apnay dimagh kay payda karda hain, aur on main say koi bhi kisi doosray insaan kay ideas nahi hay. Tu agar ham main say koi bhi forum member kisi bhi tarha kay ideas ko like karay, adopt karay, aur doosray forum members kay samnay paish karay tu iss main konsi anhoni baat hay. Taleem ka tu bunyadi maqsaad hi doosron kay ideas ko seekhna, samjhna, aur istimaal karna hota hay. Haan kutch buhat zaheen aur khosh qismat log un ideas ki bunyad par mazeed agay koi aur new original cheez invent kartay hain.
Bahar haal mayra maqsaad aapsay bahas karna nahi hay, balkay yah kahna hay kay narmi aur darguzar say kaam lain.
Dear All Main iss thread par bhi ab tak likhnay say ijtinaab hi karaha tha. Omeed hay aap log bhi mujhay quote karnay say ijtinaab karain gay. Baqi aap sab say yahi kahna hay kay likhna sab ko aata hay. Chahay ham par (yani likhnay walay par) koi farq paray ya na paray, parhnay walay ko zaroor farq parta hay. Aur parhnay walay dunya ka kisi bhi hissay main hosaktay hain.