Kitna zabardast sawal bocha hay Zeeshan bhai aap nay, may bhi to yehi bol raha hon k is section may depreciation ka zikar nahi hay na,
Depreciation isi liye nikali jati hay na k aap usy apni Business Income may say less karyn, or apn taxable income decrease kar layn. To jo section may nay likhi hay upper us may khas tor par animals k liye bataya gya hay k un ki to depreciation ho nahi sakti is liye aap ka koi animal agar mar jata hay to ye section aap ko ijazat dayti hay k wo amount ap apni business income say lass kar dayn, ya agar aap ka koi animal useless ho jata hay to aap usy agar bachty han to us ki cost may say sale consideration less kar k jo amount bany ga wo apni business income say less kar layn.
Plz Commissioner sahib say poch kar batayen k mery 1 client ka bagh hay jis may 100 aam k darkht hayn, to may un 100 drathton ki depreciation k liye kya rate lon.
hmm and ap ka koi office waqaira b hai ?kis k sath kam kartai ho??
ham nai to abhi alrready service li hoye hai..Kushnood A khan..sales tax bar sadar.. actually yar sare problem atai hain audit main..u know sab kuch b thek ho to bhi tang kar na en ka kam hai..
JI meri firm ka nam Optimistic Law Associate hay, Light house par hay office hamara,
Karachi bar or Sind bar ki enrolment hay meri, or e-intermediary enrolment hay FBR may, tax bar ki enrolment li hi nahi abhi , asal may mujhay taxation may aaye sirf 1 sal hi howa hay pahly hamari firm may taxation koi or deal karta tha, wo bahar chala gya tha study karny to ye zimaydari mujh par aa gai, itna experience to nahi hay par pori koshish karta hon apni k sahi advice day sakon,
Aap nay kaha problems Audit may aatyn hayn, asal may aysa nahi hota, problems to usi time janam lay layta hay jab aap koi transaction ko samajh nahi paty, han wo point out at the time of audit hoti hay, ik tax consultant ka kaam hi ye hota hay k wo problem ko payda hi na hony day, bajaye is k k baad may usy remove kiya jaye,,,
Par yahan ik problem or bhi hay na k , hamary kuch dost is waja say problems ko janam layny dayty han na k usy remove karny ki achi khasi fee mil jaye gi, hahahahahah