lab top bahi aap sab ki problem solve kar rahe hai meri bhi kar dein, wo yeh kiya agar compnay apne employee ka tax khud pay kar rahi hai to us ki calculation kia hogi.
bhai us ki calculation company khud kare geP. ..agar ap ko apnai koi WHT adjust kar wana hai to IT-3 form fill kar k company ko de denP..mazed roshni laptop bhai akai dalain gai ..
agar koi Company apny employee ka Tax khud ada karti hay to jo tax company ada kar rahi hoti hay usy add kar diya jata hay employee ki taxable income may or phir tax liability nikali jati hay,,,,
misal k tor pay,,,,
1 employee ki taxable income hay Rs.100
or tax liability hay Rs.2
or ye tax Rs.2 company khud pay karna chahti hay to,,
ap 2 add kar dayn gay employee ki taxable income mat yani Rs.100 may
ab employee ki tax able income 102 ho jaye gi ab is par tax liability nikaly, ab agar wo misal k tor par Rs. 3 nikalti hay to ye amount company pay kary gi..