11-03-2010, 08:56 PM
Dear Yasir
My dear brother pakistan main CIMA hi sirf ICMAP co compete ker raha hai but at the same time ICMAP and CIMA both are the part of a strategic alliance.
Yasir degrees ya certifications apki abilities aur skill ko ek had tak barahate hain ya polish kerte hain. Dosre degrees ya certifications apki eligibility banate hain. Ager ek job ke liay M.B.A required hai to ek banda jo B.Commer hai wo apply hi nhn ker sakta.Ho sakta ha uski skill aur knowledge ek M.B.A wale se ziada ho. Teesra faida degrees ya certifications (CIMA,ICMA,CA,CIA,ACCA) ka yeh hota hai k ap ek job chore ker dosree job main asanee se switch ker sakte ho. Bohat se B.Commers kayee organizations main bohat arse se mukhtalif positions pe kam ker rahe hain even on managerial levels but ager wo kaheen move kerna chain to bohat mushkil hoga ek B.Commer ziada se ziada Accountant hi ban sakta hai.
Oper jo batain keen wo zehan main rakhna. Ab ate hain CMA's (ICMAP) ki salaries kee taraf to Yasir jo guy ICMA kee 1 ya 2 stages kerne ke bad jobs main ate hain unke salaries to koyee considerable nhn hotin. Han ICMA stage 3 ICMA Inter asani se achi jobs hasil ker sakte hain. ICMA Inter aur Finalist kee salaries 30,000 se 70,000 tak hotee hain jab ke qualified CMA 70,000 se 150,000 tak job kerte hain. lekin koyee generalize statement dena bohat mushkil hai ek sahab jo FCMA hain aur ek company main CFO hain unki Gross Salary 500,000 p.m hai dosree facilities us ke ilawa hain. matlab yeh k bohat sare factors involve hote hain .