04-28-2010, 03:59 PM
@YASIR. . . uska to tum naam hi na lo jo dosron ka kr k mujh sy dosti bhol gya.rhy khush wo ab dosron k sath.khair aik or faraz ki sharing hope all members like it.
Tumhari pooroN ka lams ab tak
Meri kaf-e-dast par hai
Aur main ye sochta hun
Wo lamhe kitne darogh-go thay
Wo keh gaye thay
K ab k jo haath tere haathon ko cHu gaye hain
Tamaam hoNToN k saare lafzoN se mo'tabir hain
Wo keh gaye thay
Tumhari poorein
Jo mere haathoN ko cHu rahi thiiN
Wohi to qismat-taraash hain
Aur apni qismat ko
Saare logoN ki qismatoN se baland jaano
Hamari maano to ab kisi aur haath ko haath mat lagaana
Main uss samae se
Tamaam haathoN
Wo haath bhi
Jin mein pool
ShaakhoN se baRh k lutf-e-namu uTHaayein
Wo haath bhi jo sada k mehroom thay
Aur unn ki hatheliyaaN zakhm zakhm thiiN
Aur wo haath bhi jo charaagh jaise thay
Aur raste mein sang-e-farsang ki tarha jaa-bajaa gaRe thay
Wo haath bhi
Jin k naakhunoN k nishaan
Ma'asoom gardanoN par misaal-tauq-e-sitam paRe thay
Tamaam na-meherbaan aur meherbaan haathoN se
Dast-kash yuN raha hun jaise
Ye muTHiyaaN main ne kHol diiN to
Wo saare sachaaiyoN k moti
MusarratoN k tamaam jugnu
Jo be-yaqeeni k jangaloN mein
Yaqeen ka raasta banaate hain
roshni ka qafla banatay hain
Mere haathoN se rooTh jaayeN ge
Phir na taaza hawa chale gi
Na koi shamm'e-sada jale gi
Main zabt aur intazaar k iss hisaar mein muddatoN raha hun
Magar jab ik shaam
Aur wo pat-jHaR ki aakhri shaam thi
Hawa apna aakhri geet ga rahi thi
Mere badan mein mera lahu khushk ho raha tha
To muTHiyaaN main ne kHol diiN
Aur main ne dekha
K mere haathoN mein
Koi jugnu
Na koi moti
HatheliyoN per faqat meri na-muraad aankein dhari hui thiiN
Aur un mein
Qismat ki sab lakeerein mari hui thiiN