12-06-2010, 06:55 PM
KamranACA.
Iss baat ko abb bohat zamanay beet gai. Mainay apni aap beeti kisi general thread main likhi thi Cute-Doll k poochnay per aap nay shayad parhi nahi, may be because u r not visiting general threads. Anyways here I like to summarize only for you-
"Yeh bohat zamanay purani baat hay before freedom, Tab CA britishers k under tha, Gaarian nahi thi uss daur main, Pen Aur copian bhi nahi thi, Hum log kabootar k parr siyaahi main dibo dibo kar darakht k patto per likh likh kar CA ki Practice kartay thay. Light ijaad nahi hui thi Mombatti ki roshni main parha kartay thay. Mujhay abhi tak yaad hay k main din k waqt deewaron per likh likh kar practice karta tha q k copian tu thi nahi. Kpmg ka office ek achay say khokay main khula hua tha jahan say mainay Articleship ki thi.
Khair janab itnay saalo ki jad-o-jehad k baad, Ek din convocation tha, mera roll number sab say aakhri tha, sab ko certificate mil gyatha, mera naam pukara gya, main seat say utha aur stage tak gya, uss ki seerhian charr kar main abhi Uss banday say haath hi mila raha tha. Uss nay kahan certificate main deta hun pehlay yeh topi pheno, main abhi woh topi pehan hi raha tha k World-war ki waja say hamla hogya Aur sab degrian wagera jal kar rakh hogai..........Iss waja say main officialy CA nahi likh pata apnay naam k agay.
lakin meray do betay CA kar chukay hain iss liay abb mujhay thora sa itminan hay, lakin afsos apni jaga baki hay.
Main Maazrat karta hun, mari aap-beeti nay shayad aap ko abb tak rula dia hoga.
Regards.