Ankhon ka rang baat ka lehja badal gaya
Woh shaks aik shaam main kitna badal gaya
Shayad wafa k khel se uqta gaya tha woh
Jo manzil k pass ate hi rasta badal gaya[)]
Main sunn keh uss ki sab batain
Faqat itna hi kehta hoon
Khafa hona
Mana Laina
Yeh sadion se riwayat hai
Mohabat ki illamat hia
Gilay shikwe kero mujh se
Tumhian jana ijazat hai
Mager ik baat meri bhi
Zara tum yaad rakhna
Kabhi aisa bhi hota hai
Hawain rukh badalti hian
Khizain laut aati hain
Khatain ho hi jati hain
Khata hona bhi mumkin hai
Khafa hona bhi mumkin hai
Mager yeh hamesha yaad rakhna tum
Ta'aluq rooth jane se kabhi toota nahi kerta!!
Hum Kaise Pagal Hotey Thay"
Aik Phool Ko Chunay Ke Khaatir
Kaantoan Say Zakhmee Hotey Thay
Jo Phool Jhooli Main Aa Girtaa
Ussay Chunay Say Dar Jaatey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Kay Dhundalay Aaino Main Apna
Hum Aks Sa Dhoonda Kartey Thay
Aur Kirchiyaan Chataktay Aaino Ki
Muthi Main Daba Kar Rakhtey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Sarak Per Chalna Hota Tha
Hum Kashti Lay Kar Chaltey Thay
Aur Beech Bawar Janay Ke Liye
Hum Pedal Nikla Kartey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Barish Barsa Karti Thi
Hum Chatri Main Chhup Jaatey Thay
Aur Jalti Dhoop Main Nanggay Sir
Hum Chhut Per Uchla Kartey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Pass Bohat Wo Hota Tha
Hum Us Ko Dekh Na Saktey Thay
Jab Dur Chala Jata Tha Wo
Hum Ahhat Us Ki Suntey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Jab Sari Duniya Soti Thi
Hum Chand Say Khaila Kartey Thay
Jab Sari Duniya Jaag Uthi
Hum Phir Thak Kar So Jatay Thay
Hum Kitney Pagal Hotey Thay
Hum Kaise Pagal Hotey Thay
Hum Aaj Bhi Waise Chanchal Hain
Hum Aaj Bhi Waise Pagal Hain
<u>Aadat hi bana li hai is sheher k logon ne..</u>
Aadat hi bana li hai is sheher k logon ne
Andaz badal lena ...
Awaz badal lena ...
Duniya ki mohabbat main Aitbar badal lena
Mousam jo naya aaye raftaar badal lena
Aghiyaar wohi rakhna
Ahbaab badal lena
Aadat hi bana li hai is sheher k logon ne...
Raste main agar milna nazron ko jhuka lena
Awaz agar do to katra k nikal jana
Har ek se juda rehna ...
Har ek se khafa rehna ...
Har ek ka gila karna ...
Jate huey rahi ko ...
Manzil ka pata de kar ...
Raste main rula dena ...
Yeh Barishain bhi tum si hainâ¦
Jo Baras gayi to bahar hain
Jo Theher gayi to qarar hain
Kabhi Aa gayi yunhi bey sabab
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab
Kabhi shor hain,kabhi chupp si hain
Yeh barishain bhi tum si hain
Kisi yaad main, kisi raat ko
Ik dabi hui si raakh ko
Kabhi yun huwa k bujha diya
Kabhi khud se khud ko jala dia
Kahin boond boond main gum si hai
Yeh Barishain bhi tum si haiâ¦.
ok
Take Care of ur self n ur Deeds
Always remember me in ur prayers
Jub ACCA ho Out of control,
Answer sheet ko kur ka fold,
Aeroplane bana k bol,
ALL Will Fail!!!
Student kya jane result kia hoga,
50 milen gay ya
49 pa tie hoga,
To Mojein Urao .....
Paisa Urao
Paise Ura k Bol PAPA All is WEll -p
And so it came to be
this isolation that I am
I can only look to me
to find the way it all began -
this confusion, constant
hunger for something more than this
I strive to find this being
that I envision, yet seem to miss.
Could it be that I am empty-
or maybe a little lost?
Could it be that I am lonely,
or seek happiness at any cost?
This never-ending Something
that I am living deep inside,
depicts the illusion of myself
and all I have to hide.