04-23-2006, 11:39 PM
dukkh key in bechain lamhon ki rawaani kya kahein
thee tabeeaut bhi hamari aashqani kya kahein
raaston mein sookhey pattey poochtey hain mera shok
kis kadarr thi gul sey hum ko shaadmani kya kahein
tum junoon' mein aqql ki dunya basaa karr deikh lo
is sey badh kar ishq key ab hum ma-aani kya kahein
doobta hai ye safeenah na kinaara aaye hai
paani, paani kya kahein; aur baadbani kya kahein
waqt guzra hai kuch aisa zeest(zindagi) aur taqdeer mein
hum-raqeebi kya kahein aur aasmani kya kahein
jab kabhi bister pe latey bas janazaa ho gayey
haayey in majboor kandhon ki jawani kya kahein
haar ki dehleez sey kya kya mila hai bheek mein
jeet key in teen harfon ki kahani kya kahein
waqt ney itni kharaashein khainch deen hain chehrey per
itni muddatt baad hum apni nishaani kya kahein
in diyon sey pooch lo; chaaho hawa sey pooch lo
roz guzrey hai jo hum pe na-gahaani kya kahein
(adeel)
Written 12th August, 2001