bhaley dino'n ki baat hai
bhali si ik shakal thee
na ye ke husn e taam ho
na dekhney mein aam si
na ye ke wo chaley tou kehkishaa'n si raahguzar lagey
magar wo saath ho tou phir bhala bhala safar lagey
koi bhi rutt ho uss ki chhab
fiza ka rang roop thee
wo garmiyon ki chhaaon thee
wo sardiyon ki dhoop thee
na mudd'aton juda rahey
na saath subh o shaam ho
na rishta e wafa pe zid
na ye ke izn e aam ho
na aisi khush libaasiyaa'n
ke saadagi gila karey
na itni betakallufi
ke aaiyna haya karey
na ehtalaat mein wo ramm
ke bad maza ho'n khawhishein
na iss qadar sapurdagi
ke zich karein nawazishein
na aashiqi janoon ki
ke zindagi azaab ho
na iss qadar kathor pan
ke dosti kharab ho
kabhi tou baat bhi khafi
kabhi sakoot bhi sukhan
kabhi tou kisht e zaafraa'n
kabhi udaasiyo'n ka bann
suna hai aik umr hai
muaam'laat e dil ki bhi
wisaal e jaa'n fiza tou kya
furaaq e jaa'n gussal ki bhi
so aik roz kya hoa
wafa pe behs chhirr gayi
mein ishq ko amar kahon
wo meri zid se chirr gayi
mein ishq ka aseer tha
wo ishq ko qafas kahey
ke umr bhar ke saath ko
wo bad'tar az hawas kahey
shajar hajar nahi ke hum
hamaish paa be gill rahein
naa dhaul hein ke rassiyaa'n
galey mein mustaqil rahein
mohabbato'n ki wus'atein
hamarey dast o paa mein hein
bas aik dau se nisbatein
saggaan e baawafa mein hein
mein koi painting nahi
jo ik frame mein rahoo'n
wohi jo mann ka meet ho
ussi ke praim mein raho'n
tumhari soch jo bhi ho
mein uss mizaaj ki nahi
mujhey wafa se bair hai
ye baat aaj ki nahi
naa uss ko mujh pe maan tha
na mujh ko uss pe zo'am hi
jo ehad hi koi na ho
tou kya gham e shikastagi
so apna apna raasta
hasi khushi badal liya
wo apni raah chal parri
mein apni raah chal diya
bhali si ik shakal thee
bhali si uss ki dosti
abb uss ki yaad,raat_din
nahi, magar,kabhi_kabhi
<font color="red"><font size="2">THANKS ALOT SHAHZORI FOR APPRECIATING MY SELECTION</font id="size2"></font id="red">
BARA DUSHWAAR HOTA HAI ZARA SAA FAISALA KARNAA
KAY JEEWAN KE KAHANI KO BIYAAN-E-BAIZUBANI KO
KAHAN SE YAAD RAKHNA HAI KAHAN SE BHOOL JANA HAI
USAY KITNAA BATAANA HAI US SE KITNAA CHUPANA HAI
KAHAN ROO ROO KAY HANSANA HAI KAHAN HANS KAY RULAANA HAI
KAHAN AWAZ DAINEE HAI DAINEE HAI KAHAN KHAMOOSH REHNAA HAI
KAHAN PAR SAATH CHALNAA HAI KAHAN RASTAA BADALNAA HAI
SUNO DUSHWAAR HOTA HAI BARA DUSHWAAR HOTA HAI
KAHAN RASTA BADALNAA HAI BARA DUSHWAAR HOTA HAI
Dear Sunaina!
You said "while leaving",where are you going???
Remember,***faith in ALLAH and struggle hard__key to success.***
You will find our best wishes and prayers in the way of achieving your goal.
To my friend to who is my life because "Love is life" !
Everyone who will read it might be having some sort of
feelings about the .... relationship ..... that what he
was for me, is for me and will always remain for me and
what was, is and will perhaps I remain for him !
--------------------------------------------
Muhabbaton mein dikhaaway ki dosti reh gayee
Kisi ki "main'" pe meri bebasi saji reh gayee
Khudd apna chehra meray rukh say is tarah nochaa
Keh har kharaash kay chehray per ik hansi reh gayee
Zindage kisi ke amanat nahe hote
Amanat mein kabhe khiyanat nahe hote
hum say doste zara sambhal ke karna
humaree dostee ke qaid mein zamanat nahe hote