piyaasi pankhari ke haunt ko seraab karti hai
gulo'n ki aasteeno'n mein anokhey rang bharti hai
sahar ke jhutpatey mein gungunaati,muskuraati,jagmagati hai
mohabbat ke dino'n mein dasht bhi mehsoos hota hai
kisi firdaus ki soorat..............
mohabbat aus ki soorat..............
mohabbat abr ki soorat..............
dilo'n ki sarzamee'n pe ghir ke aati aur barasti hai
chaman ka zarra zarra jhoomta hai, muskuraata hai
azal ki benamu mitti se sabza sar uthata hai
mohabbat un ko bhi aabaad aur shaadaab rakhti hai
jo dil hein qabr ki soorat...........
mohabbat abr ki soorat...............
mohabbat aag ki soorat...............
bujhey seeno'n mein jalti hai tou dil bedaar hotey hein
mohabbat ki tapish mein kuch ajab israar hotey hein
ke jitna ye bharakti hai uroos e jaa'n mehakti hai
dilo'n ke saahilo'n pe jama'a hoti aur bikharti hai
mohabbat jhaag ki soorat..............
mohabbat aag ki soorat................
mohabbbat khawb ki soorat.............
nigaaho'n mein utarti hai kisi maahtaab ki soorat
sitaarey aarzu ke iss tarah se jagmagatey hein
ke pehchaani nahi jaati dil e betaab ki soorat
mohabbat ke shajar par khaab ke panchhi utartey hein
tou shaakhein jaag uthti hein
thakey haarey sitaarey jab zami'n se baat kartey hein
tou kab se muntazir aankho'n mein sham'ein jaag uthti hein
mohabbat un mein jalti hai
chiraagh e aab ki soorat...............
mohabbat khawb ki soorat...............
mohabbat dard ki soorat................
guzishta mausamo'n ka ista'aara ban ke rehti hai
shabaan e hijr mein roshan sitara ban ke rehti hai
mandero'n par chiraagho'n ki lo'ein par thartharati hein
nagar mein naaumedi ki hawaein sansanaati hein
gali mein jab koi aahat koi saaya nahi rehta
dukhey dil ke liye jab koi bhi dhoka nahi rehta
ghamo'n ke bojh se jab tootne lagtey hein shaney tou
ye unn pe haath rakhti hai
kisi hamdard ki soorat..................
mohabbat dard ki soorat.................
guzar jaatey hein saarey qaafley jab dil ki basti se
fiza mein tairti hai dair tak ye gard ki soorat
mohabbat dard ki soorat.................
kal ****hwei'n ki raat thee shab bhar raha charcha tera
kuch ne kaha ye chaand hai kuch ne kaha chehra tera
hum bhi wahi'n maujood thay hum se bhi sab pochha kiye
hum has diye hum chup rahey manzoor tha parda tera
iss shehr mein kis se milei'n hum se tou chhotei'n mehfilei'n
har shakhs tera naam le har shakhs dewaana tera
koochey ko terey chhor kar jogi hi ban jaayei'n magar
jangal terey parbat terey basti teri sehra tera
tu baawafa tu mehrabaa'n hum aur tujh se badgumaa'n
hum ne tou pochha tha zara ye wasf kyun thehra tera
hum par ye sakhti ki nazar hum hei'n faqir e raah guzar
rasta kabhi roka tera daaman kabhi thaama tera
haan haan teri soorat hasee'n laikin tu itna bhi nahi
iss shakhs ke ash'aar se shohra hoa kya kya tera
bedard sun'ni ho tou chal kehta hai kya achhi ghazal
aashiq tera ruswa tera shaaer tera inshaa tera
na deed hai na sukhan,abb na harf hai na payaam
koi bhi heela e taskee'n nahi aur aas bohat hai
umeed e yaar, nazar ka mizaaj, dard ka rang
tum aaj kuch bhi na pochho ke dil udaas bohat hai
ujaar lamho'n ki daastanei'n jo tum kaho tou sunayein tum ko
bohat sa hum jaagtey rahe hein abb zara sa jagayei'n tum ko
tumhi ho jo roshni si ban kar hamari aankho'n mein aa basey ho
jo apni aankhei'n hi keh diya hai tou phir bhala kyun rulayei'n tum ko
tum aaj kyun muztarib ho janaa'n tumharey lehjey mein toot kaisi
kaha nahi tha ke waqt de ga kadorato'n ki sazayei'n tum ko
tum aisa karna ke aik lamhe ko apni dharkan pe haath rakhna
meri wafayei'n ye merey jazbey agar kabhi yaad aayein tum ko
ghubaar aalood raasto'n mein talash kar kar ke thak gaye hein
kahan pe ja ke basey hoey ho kahan se hum dhoond laayein tum ko
tumhein tou sukh aa gaye muyassar tumhein tou hum yaad bhi nahi hein
magar btaao ke hum jo chahei'n tou kis tarah se bhulayei'n tum ko
kaho aey jaazib ye jhoot hai na ke uss ne tum ko bhula diya hai
abhi talak jis ki shaukh yaadei'n har aik lamha satayei'n tum ko
tazaad e jazbaat mein ye nazuk muqaam aaya tou kya karo gey
mein ro raha hoon tou has rahey ho mein muskuraya tou kya karo gey
mujhey tou iss darja waqt e rukhsat sukoo'n ki talqeen kar rahe ho
magar kuch apne liye bhi socha mein yaad aaya tou kya karo gey
kuch apney dil pe bhi zakhm khaao merey lahu ki bahaar kab tak
mujhey sahara bnaney waalo mein larkharaya tou kya karo gey
tumharey jalwo'n ki roshni mein nazar ki heraaniyaa'n musallim
magar kisi ne nazar ke badley dil aazmaya tou kya karo gey
utar tou saktey ho paar laikin ma'aal par bhi nigah kar lo
khuda na karda sakoon e saahil na raas aaya tou kya karo gey
abhi tou tanqeed ho rahi hai merey mazaq e junoo'n pe laikin
tumhari zulfo'n ki barhami ka sawal aaya tou kya karo gey
abhi tou daaman chhura rahe ho bigarr ke qaabil se jaa rahe ho
magar kabhi dil ki dharkano'n mein sharik paaya tou kya karo gey
Woh Mil Jatey Hain Kahani Ban Kar
Dil Main Bas Jatey Hain Nishani Bankar
Jinhey Hum Rakhtey Hain Apni Aankho Main
'aishi' Nikal Jatey Hain Woh Pani Bankar
salam to all my buddies...
hahah..wel said shahzori...she can be from wazirabad...
EK DAMM USS K HOONT CHOOM LEYE
NA JANY MUJY BAITHY BAITHY KIA SOOJI..(nasir kazmi)
yaar iss terha k chat paty sy shyyr likh karo ..
afsorda afsorda mahool ko thanda kar dety hyn...
acha lagta hy saaz k sath awaz
samundar k sath sahil
phool k sath khushboo
jism k sath roo
shama k sath parwana
khushi k sath gham
aur ap sub k sath hum
hum forum fm...