agar isi tarah kam hota raha to InshaAllah wo log bhi jald hi apni zindagi normaly guzar sakain ge.
May Allah Bless those persons who really do something for IDP's (Ameen).
Olympia Agar aap bura na manain tu main apka jumla kutch tabdeel karna chahta hun. "Wo log" na khain, balkay "ham log" kahain. Yah "hamara" maslaa hay, kisi "dosray" logon ka nahi. Jab ham sab mil kar issay "hamara" banain gay tu hi chezain theek hongi. "Hamara" samjhnay say takleef ka asal ahsas payda hota hay, aur aadmi khud say kutch karnay ki koshish karta hay.
Omeed hay aapnay bura nahi mana hoga.
For Others Bhai kia ham apni apni zindagi say chand (3 to 6 days) din bhi volunteer nahi karsaktay hain. Agar 17 Karor kay mulk say sirf 1 lakh students bhi volunteer karain tu kitna farq par sakta hay. Shayad on main say agay chal kar kisi 5 ya 10 ko Allah Edhi Sahib ki tarha hi bana day.
Hamaray mulk main taraqi karnay ka buhat potential hay, agar ham waqai kutch karna chahain tub. Warna phir bardasht karain.
Ham log khud bhi tu apnay hukamrano ki tarah hi hain, Buss fark sirf itna hay k Humain chotay chances miltay hain be-imani karnay k Aur hum un ko bakhoobi avail kartay hain, Aur jo Hukumraan hain unhain baray chances miltay hain jisay woh khoob achi tarah avail kartay hain. Chanass milnay ki baat hay bhaiyya.
Recently Main nay apni Degree Pakistan bhijwai thin Attest karwanay k liay, Aur takreeban her mehakmay main jahan jahan woh degree gai hay wahaan wahaan kisi na kisi kaam k liay rishwat khilani pari, Mujhay khud apni degree per shuk ho raha tha k kahin yeh jaali tu nahi hehehhee.
Ooper say neechay tak Aur agaay say peechay tak sari Awaaam corrupt hay )