judaee kay lamhay guzar rahey hain aahista aahista
hum waapis zindagi basar ker rahe hain ahista ahista
log achay lag rahe hain phir se aahista aahista
lekinn ab un ki yaad aahee jati hai aahista aahista
mujhye bhee khush rehney kaa haq hai poora poora
lekinn phir bhee us ne kya mujhey ghamgeen aahista aahista
woh tou hamein aasani shayad bhulaa bethey hain
lekinn itna yaqeen hamein bhee hai kay
unhein bhee hum yad atay hongey aahista aahista
ab khushee ka ehsaas hamein bhee hota hia lekinn jald hee
dil kuchh lamhay kay liye bhar jata hai aahista aahista
itna sangdil hum thhay pehley kay bhula dete thhay aram se
phir usse bhulana kyun mushkil ho raha hai pata naheen
shayad woh hamari zindagee mein aye tou achanak
lekinn jayeingee un ki yadein aahista aahista
humein tou un ki yaad aa hee rahi hai lekinn
dua hai kay woh hamein bhulaa sakein agar chahein tou
magar forenn naheen aahista aahista
hum unhein zindagee mein basa leinge ab bhee ger woh aye tou
magar un per pehley jaisaa bharosa qaim hoga aahista aahista
woh waapis aatay lagtay naheen hamein
phir dua hai kay khuda se kay ......
hamein un ki yaad aye zindagee bhar aahista aahista
shayad yeh dua ajab lagay raqeebon magar ....
hal-e-dil badal jata hai insaan kaa raftaa raftaa....
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tez Bahut Tez Chali Ho Jaise
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise
Baat Nikalegee To Phir Duur Talak Jaayegee
Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge
Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho
Oongliyaan Uthengee Sookhe Huye Baalon Kee Taraf
Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf
*****iyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge
Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge
Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge
Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge
Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa
Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge
Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse
Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse
Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee
Merii Tanhaaiyon Tum Hii Lagaa Lo Mujhako Siine Se
Ki Mai.n Ghabaraa Gayaa Huu.n Is Tarah Ro-ro Ke Jiine Se
Ye Aadhii Raat Ko Phir Chuu.diyo.n Se Kyaa Khanakataa Hai
Ko_ii Aataa Hai Yaa Merii Hii Za.njiire.n Khanakatii Hai.n
Ye Baate.n Kis Tarah Puuchhuu.n Mai.n Saavan Ke Mahiine Se
Mujhe Piine Do Apane Hii Lahuu Kaa Jaam Piine Do
Na Siine Do Kisii Ko Bhii Meraa Daaman Na Siine Do
Merii Vahashat Na Ba.d Jaaye Kahii.n Daaman Ke Siine Se
janay woh kasiey log thhay
jin kay pyar ko pyar mila
hum ney tou jab kalyan mangee
kanton ka haar mila
khushyon ki manzil dhoondhi tou
ghum ki gard mili
chahat kay naghme chahy tou
banhein sard mileen
dil kay bojh dugna ker gaya
jo ghum khwar mila
hum ney tou jab kalyan mangee
kanton ka haar mila
janay woh kasiey log thhay
jin kay pyar ko pyar mila
hum ney tou jab kalyan mangee
kanton ka haar mila
bichher gaya bichher gaya
bichher gaya her sathi de ker pal dou pal ka sath
kis kou fursat hai jo thamay deewanon ka hath
hum ko tou apna saya aksar bezaar mila
hum ney jab kalyan mangee
kanton ka haar mila
is ko hee jeenaa kehtey hain tou yunhee jee leinge
uff na karein ge lab see leinge ansoo pee leinge
ghum se ab ghabrana kaisey ghum so baar mila
janay woh kasiey log thhay jin kay pyar ko pyar mila
janay woh kasiey log thhay
jin kay pyar ko pyar mila
hum ney tou jab kalyan mangee
kanton ka haar mila
Baat Nikalegee To Phir Duur Talak Jaayegee
Log Bewajah Udaasee Kaa Sabab Poochhenge
Ye Bhee Poochhenge Ke Tum Itnee Pareshaan Kyoon Ho
Oongliyaan Uthengee Sookhe Huye Baalon Kee Taraf
Ek Nazar Dekhenge Guzre Huye Saalon Kee Taraf
*****iyon Par Bhee Kai Tanz Kiye Jaayenge
Kaanpate Haathon Pe Bhee Fikre Kase Jaayenge
Log Zaalim Hain Har Ek Baat Kaa Taanaa Denge
Baaton Baaton Mein Meraa Zikr Bhee Le Aayenge
Unakee Baaton Kaa Zaraa Saa Bhee Asar Mat Lenaa
Warnaa Chehre Ke Taasur Se Samajh Jaayenge
Chaahe Kuchh Bhi Ho Sawaalaat Naa Karnaa Unse
Mere Baare Mein Koi Baat Na Karnaa Unse
Baat Nikalegii To Phir Door Talak Jaayegee