03-06-2010, 04:25 PM
<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Greatkhans</i>
<br />Piyaray Awais Bhai,
Main apkay mutalay ka ahtram karta hoon. Pehlay tashi kardoon kay main nay 1988 ki baat ki thi. Mujh per Allah ka aaj bhi bohat karam hai. Main khud numai pasand nahi karta lihaza apnay baray main bila zaroorat nahi likhta. Aur nahi bila zaroorat logoon say ulajhta hoon.
Yaqenan manay Molana ki tamam kutub ka mutalah kiya hua hai us kay ilawa mainay classic Islamic literature ka bhi mutalah ki hua hay. Us ki bina par main ye kah raha hoon kay aik alim-e-din koa mudabir, mufakir aur tahmul pasand hona chaiyae nakay jazbati. Agar koi shakhs maray samnay yae kahta hay kay wo musalman hay aur Aik Allha, Rasool, Khatam-e-nabowat, (Eman-e-Mufasil) per yaqeen rakhta hay to main us ko challenge nahi karoon ga kiyoon kay Allah sab say bahtar ilm rakhnay wala hay. Yae hi baat Zaid hamid kah raha hay. Har shakhs ko apna difa karnay ka pura haq hasil hona chahiyae. Ab main ap ko aik waqiya sunata hoon.
Rao Farman Ali apni kitab main likhta hay. Jab Z.A Bhutto ko phansi ki saza hui too tamam mamalik kay sarbrahan nai raham ki appeal ki. Indra Gandhi nay Zia ko phone kiya aur darkhast ki kay Bhutto ki saza ko umer qaid main tabdeel kar diya jay. Zia nay jawab main kaha kah hum apni ala adalatoon kay fasaloon ka ahtaram kartay hain, Indra nay kaha kah Mr. Zia main bohat achhi tarhan say waqif hoon kah Indo-Pak main adalatoon kay fasalay kis tarhan say hotay hain. Zia is kaha kah jub ap yae janti hain to kiya ap chahti hain kah wo phansi ka phanda main apnay galay main dal loon?
Molana Maududi ki saza bhi Pakistan ki aik adalat hi nay di thi. Yani fasala apki marzi ka hai to drust hay aur apkay khilaf hay to ghalat hay. Yae mantiq nahi chal sakti.
Ab aiyae, Zia Shahid ki taraf. In ki sural waloon say maray gharwaloon kay 50 sallon say talooqat hain. Wo kitnay sharif hain main bohat achhi tarhan say janta hoon. Is forum per kuchh likh nahi sakta. Ab Aiyae Umat Akhbar ki taraf. Main 1995 main Pakistan ki sab say bari distribution company ka Director Finance tha. aik din maray pas phone aya kay ap Rs.200,000.00 ka chque bhijwadain ap ki company ka ishtahar kal chap raha hay. Yae phone UMAT Akhbar say aya tha. Main nay pucha kay bhai ishtahar ham nay to nahi diya. Agar Apnay cheque nahi bhijwaya to kal say ap ki company kay khilaf khabrain lagni shuroo hou jain gyi. Mainay us say kaha kah jo karna hai kar loo main cheque nahi bhajoonga. Dusray din hamara khilaf khabar lag gai. Main nay UMAT per Sind High Court may Rs. 100 million ka dawa dair kar diya kiyoon kay hamari sari products International Brands thay. Baad main UMAT nay muafi mang li. Ab ap khud andaza kar saktay hain UMAT akhbar ka. Yae suni sunai baat nahi hay ,ara apna tajarba hay.
Bhai maray, agar is tarhan hum har aik ko kafir qarar datay rahay to wohi hoga jo aaj app dekh rahay hain, Shia, Duobandi, baralwi, zikri, Qaidiyani sub aik dusray kha khoon bahatay rahain gay aur tamam masajid wiran ho jaingy. Loog musjid main janay say bhi khoufzada ho jain gay. Muzhabi bardasht aur rawadari say hi hum kisi ko apni baat bahtar toor par samjha saktay hain.
Mujhay umeed hai kay ap samajh gay houngay.
Regards.
GREAT KHANS
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">
Greatkhan
Yeh ap k apne khayalat hain main inka ehtram kerta hun.Mager main in se ikhtilaf ka haq rakhta hun.
Regards,
Awais Aftab