04-01-2010, 06:51 AM
Dear Shani
Rushdie, Tasleema Nasreen, German or Dutch newspaper publishers or Ahmadis kay baray main kisi ko koi shak nahi hay aur na hi inkay baray main koi do (two) rai hain. Ikhtilaaf sirf inkay treatment par hay, yani Mulims (Gov't and individuals) ka reaction kiss tarha ka hona chayay. Maslan apnay logon ki properties ko jala kar ham "dushman" ka konsa nuqsaan kartay hain? Aur kia aysi stikes, rallies, procesions ki call daynay walay bhi hamaray kia ham aam logon kay indirect dushman nahi hain kia? Kia death threats nay inn sab ka "rate" nahi barha dia, jo inka asal maqsaad tha. Kia yah sab karkay ham nay wohi nahi kia jo yah sab ham say karwa kar apni "cheap value and rate" main izafa karwana chahtay thay.
Bhai agar time milay to China or Iran ki diplomacy ko thanday dil say samjhnay ki koshish karna. China kay pass sab kutch hay aur pichlay 40 saal say hay magar wo kisi ko threat nahi karta. Aur Iran abhi sirf developmental phase main hi hay, aur bharkain Sultan Rahi ki hain. Nateeja ham sab kay saamnay hay. Shayad kisi jaga KamranACA nay Saddam ki misaal kafi achi di thi.
China, Iran, ya Saddam ki example samjhnay walon kay liay hain, kay iss tarhay kay problems ka treatment kiss tarha hona chayay. Warna phir apni kulhari aur apni hi taang hoti hay, ya phir khaya pia kutch nahi glass tora bara-anay (12 Anas).
Abhi Pakistan ki age sirf 63 years hay, awal din say bharkain marnay kay ilawa ham nay kutch nahi kia. Nateeja kia nikla, dunya ki har secret service hamaray ilaqon main apnay apnay game khail rahi hay. Kia ham kutch aaraam say nahi baith saktay thay kia?
Bahar haal main zara doosri taraf nikal gya tha. Now come to the point.
Shani and Awais bhai, internet age main search engine ko istamal karna koi bari baat nahi hay. Kisi ko bhi agar interest ho to wo Qadyanion ya Rushdie ya kisi aur kay baray main search karsakta hay. Magar iss tarha kisi ka bhi link lagana (including Zaid Hamid) oska "bhao barhana" hota hay. Specially agar aap osko bura aadmi samjhtay hain to iss say bachna chayay nakay market karna.
Regards