04-03-2010, 07:46 AM
<blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by awaisaftab</i>
... Mazee main mere ap k sath bohat achay taluqat rahay hain we never involved in personal attack on each other but at this thread main ne observe kia ke apne baaz jaghon pe thoree sakht zuban use kee. Anyhow I expect a good relation with you in future.
Awais Aftab
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote">
Bhai Awais
Mayray dil main bhi apki janib koi kadoorat nahi hay. Main yahan yah wazah kardon kay main nay apkay yani "Awais Aftab" kayliay mayray khyal main intentionally koi sakht zaban istimaal nahi ki hay. Haan main iss general idealogy say zaroor ikhtilaaf rakhta hon jis ki waja say yah thread start hua. Agar phir bhi aap yah samajhtay hain kay main nay aapkay liay koi sakht alfaz kahay hon to mayri janib say maazrat qobool karain.
Kutch aakhri alfaz kay tor par main yah zaroor kahna chahonga kay kutch mamlaat buhat nazuk hotay hain jaysay zaat paat, lissan, aur deen-o-mazhab waghaira. Inn par kutch kahnay say pahlay kafi ghor karlayna chahyay khas toor par Deen kay baray main baat karnay say pahlay. Khas toor par ham muslims kayliay yah buhat aham maslaa hay.
Bhai mayray, mujhay yahan bhi aapsay ikhtilaaf hay kay sab Ulema nay suicidal attacks aur taliban kay khilaaf fatwa dya hay. Kam az kam mayri nigah say itni lambi list of Ulema's nahi guzri jinhon nay taliban kay khilaaf fatwa dya ho. Balkay mayray ilm aur samjh kay mutabiq to chand big ulema kay ilawa majority (including big mazhabi political leaders and a mazhabi political party) to talibaan kay darparda saathi hain, onhain moral support kartay hain, onkay liay rai-aamma hamwar kartay hain, onko aur khud ko aik hi sikkay kay do (two) rokh kahtay hain, kahtay hain kay sirf "<b>zara sa</b>" tariqay ka farq hay.
Mayray bhai, kia ham roz marrra main aik doosray kay baray main yah nahi kahtay kay falan tu wahabi hay, falan tu shea hay, ya falan punjabi/sindhi/pathan etc. hay. Bhai, yah sab batain deemak ki tarha hoti hain, deemak ki tarha amal karti hain, aahista aahista society main intishaar payda karti hain, bhai ko bhai say larati hain, muslim ko muslim ka dushman banati hain. Agar hamara aapas main yah haal hay tu aqliaton (minoroties) kay saath hamara kia sulook hoga. Ham sabko maloom hay kay ham onkay saath kia sulook rawa rakhtay hain. Bhai, kia as Pakistani tamam minorities ko equal rights nahi honay chayay. Kia ham practically equal rights daytay bhi hain onko apni individual day to day life main? Aap khud apnay aap say inn questions ka jawab thanday dil sochain.
Bhai, deen main tu narmi, tadabbur, aur tahamul hay. Iss waqt sub-continent (bar-e-sagheer) main total world muslim population kay taqreeban 50% muslims rahtay hain. Ham khud kahtay hain kay yahan Islam sufis aur arab traders nay phaylaya. Tu bhai kia onhon nay ghair muslims kay saath istarha ka sulook kia tha jaysa aaj ham apnay hi muslim bhaion kay saath kartay hain? Kia onhon nay dosray muslims kay 10 ya 15 saal puranay relations (baqool Kamran garay murdon say) ginway thay? Bhai, agar unn Sofia karaam aur arab traders ka aysa amal hota to shayad aaj ham main say koi muslim hi sub-continent main mojood nahi hota. Bhai kia ham aik doosray ki tangain hi iss tarha nahi kaat rahay hain? Kia ham doosron ko hansnay ka moqa nahi day rahay hain? Kia ham iss tarha kay baykaar muaamlaat main apni hi energies zaya nahi karrahay hain? Jabkay aaj hamain unity ki pahlay say zyada zaroorat hay, ham kia mazeed bikhar nahi rahay hain?
Bhai aaj ki dunya main mukhtalif tarha kay groups hotay hain, jinkay apnay apnay interest hotay hain, wo apnay apnay interests creat kartay hain aur protect kartay hain. Jab onkay interests par zarb parti hay ya tanqeed hoti hay tu wo bhi mukhalif party par directly aur "<b>INDIRECTLY</b>" hamlay kartay hain aur onko giranay ki koshish kartay hain, by hook or by crook. Bhai, hamaray mulk main illetracy pahlay hi buhat zyada hay. Kam az kam educated logon ko tu cheezon ko thora deeply analyze karna chayay. Aksar cheezain jiss tarha hamain roz-marra main dikhai dayti hain, aksaar waysi asal main hoti nahi hain, balkay onkay pichay koi aur baat ya maqsad chupa hota hay. Bhai kam az kam educated logon ko tu sabar say, soch samjh kar qadam uthana chayay. Ya phir Punjab kay village ki tarha jab kisi sakhs nay apnay neighbour say dushmani aur makhaasmat nikalni thi tu os nay village molvi ko jaakar kah dya kay osnay Naoozubillah Quraan jalatay daikha hay aur molvi sahib nay masjid kay loud speaker par chillana aur logon ko oksana shoru kardya aur phir os hafiz-quraan ko public lynching say shaheed kardya gya.
Kia Zaid Hamid kay muaamlay main bhi yahi kutch tu nahi horaha?
Bhai, Yosuf Ali kay muaamlay main bhi kam az kam Pakistan ki had tak hi Ijma-e-umat ya tamam firqon kay fiqaheen ka Ijmaa to karlaytay jo sab milkar kutch decide karta aur qom ka ospar consensus hota, phir osko akhri adalaat (Supreme Court ya Federal Shariat Court) tak lay kar jatay, wahan say faysla laytay, aur phir Gov't jo bhi saza dayti aur ospar amal karti. Bhai yah to Ulema ki zimmaydari thi kay "Yousuf Ali" ki "HIFAZAT" kartay aur logon aur awam ko samjhatay kay wo Naozubillah agar nabuwat ka dawaydaar hay to koi ordinary muslim ossay koi nuqsaan nahi pohancha day.
Aur hoa iskay bur-aks, kisi nay thik tariqa istimaal nahi kia, individual level par fatway barish ki bondon ki tarha tapaknay lagay, na hi tamam fiqaheen ka ijmaa hoa, na baat mulki insaaf ki aakhri adaalat tak pohanchi, aur aik emotional, short sighted, cold blooded murderer nay "Yousuf" ko Qatal kar dya. Khas kam jahan pak. Chalo qissaa hi tamam hua. Ab koi molvi hazraat kay khilaaf nahi bolay ga.
Bhai mayray, kisi ko non-muslim qarar dayna ya "kazib" kahna kia mamooli baat hay kia? Har baat kay kutch khas taqazaay hotay hain. Kia kisi makhsoos firqay ya chand firqon kay Ulema kay individual fatwon say koi bhi muslim ya dosray muslim firqay non-muslim qarar paa saktay hain? Bhai agar aysa hay tu phir sab ko aik doosray kay khilaaf talwarain otha layni chayay aur sab ko aik doosray ki gardan zani kardayni chahyay. Door ki baat choryay, issi waja say Para Chinaar, Hungo, aur FATA main yah sab ho hi raha hay. Aur ham sab big cities main rahnay walay aam muslims bhi dosron kay liay dilon main bughz liay baythay hain, farq sirf yah hay kay FATA main amal horaha hay aur ham karachi ya lahore main kar nahi paatay.
Bhai kahnay ka maqsaad yah hay kay "Yousuf Ali" ko kinaaray tak tu pohanchatay. Phir jab hujjat tamam hojati tu kisi ko ossay "kizaab" kahnay main koi shak ya diqqat nahi hoti.
Chalain agar tab nahi hoa to ab hi jo amal ho chuka osko thik karlain. Ab aap aur wo tamam dini hazraat jinko aik dafan shuda murday say Islam par koi aanch aati nazar aati hay, wo aagay aain aur kam az kam Pakistan kay tamam firqon kay aalimon say Yosuf kay muamlay par consensus develop karain aur koi collective result samnay lain. Oskay baad agar agar Pakistan ki Courts aur Law ijazat dayta ho to oskay case ko last court of law say decision karwain. Agar aysa nahi hota, tu bhai phir to log yousuf ali kay case ko bhi shak say daikhain gay aur Zaid Hamid par onglian othanay ko bhi ghalat kahain gay, kionkay jab aik bunyad (base) hi sabit (proved) nahi hay to oski bunyaad par khari imaraat (building) hi jhoti hay. Aur aysay logon ka maqsad sirf dosron ko dara dhamka kar, zor zabardasti, apni monoply banana, hat dharmi say apni baat manwana, aur apnay INTERSTS ko save karna hi hay. Warna phir aysay logon ka maqsad jo aik garay murday (long burried person) ko dobarah zindah karrahay hain, onka maqsaad sirf aaam musalmano ko darana hi hay kay jo bhi onkay khilaaf bolay ga wo usko aysi ibrat ki misaal bana dain gay. Agar inka yah maqsad nahi hay tu yah kisi kaam ko karnay ka aik thik aur jayaz tariqa-e-kaar kion ikhtiar nahi kartay? Kia iss tarha yah log aaam logon ko ya tu mushta-il karrahay hain ya phir harasaan nahi karrahay hain?
Bhai thik tariqay aur ghalat tariqay main baaz auqat sirf itna hi farq (difference) hota hay jitna nikkah aur muttaa main. Kaam aik hi hay, tariqa ghalat.
Mujhay educated logon say sirf yahi kahna hay kay apni affiliation ki waja say ghalat tariqay ko thik tariqay main khalat malat (mix-up) na karain aur na ossay support karain. Warna yahi hoga jo ho raha hay. Anarchy aur mazeed anarchy, intishaar aur mazeed intishaar. Natija, har shaks apna insaaf khud karnay lagay ga. Discourage karain iss approach ko aur har os approach ko jo distruction ki janib jati ho. Doosron kay eeman ko evaluate karna chor dain, ham main say kisi ko aysa koi deeni ya dunyawi haq nahi hay, aur nahi ham main ba-hay-siyat insaan aysi sallahiat hay kay ham dosron kay dilon main jhank sakain. Agar kutch aysay problems hon bhi jaysay Qadyanion ki tarha kay tu ossay settle karna buhat high level Ulema ka kaam hay jo unhain Ijmaa kay saath karna hoga. Warna muslims sirf bat-tay hi rahain gay.
Gen. Hameed Gul bhi Zaid Hamid ki tarha impractical batain hi kartay hain. Ya tu yah dono hazraat khud baywaqoof hain (jo yaqeenan ghalat hay), ya phir intihai chalaak jo aam Pakistanis ko apnay interests kayliay oksaatay aur mushta-il kartay hain. Yah Pakistanis kay India ya USA kay baray main sentiments ko exploit kartay hain. Aakhir Gen. Hameed Gul jitnay shad-o-mad say India's hand in Swat ki baat kartay hain utni hi taqat (power) say Taliban ki mukhalifat kion nahi kartay? Inhi jaysay elements phir Pakistani taliban jaysi terms laykar aatay hain aur kahtay hain kay Pakistani talibaan Afghan talibaan say seperate hain, jabkay Swat main taliban leader (I am forgetting his name) khud kahta hay kay wo Afghanistan main safe and sound hay. Gen. Hameed Gul ka saara zor sirf iss baat par hay kay riffle aur ammunition kahan say aaraha hay, jabkay ossay kon chalata hay yani taliban, tu onki wo koi burai iss shiddat say nahi kartay jaysi USA ya India ki kartay hain. Wo karain bhi kion, wohi to taliban kay creaters main shamil rahay hain. Ab taliban ko bura kahnay say zad to onpar bhi paray gi, aur anderoon-e-khana taluqat bhi kharab hongay. Ajeeb log hain ham bhi. Khoon aaasham wahshi kutttaay (wild dogs) bhi paltay hain aur chahtay hain kay wo kabhi ham par hamla bhi na karain.
Yahan main Kamran ki baat say bhi ittafaq karonga kay aaapnay un-intentionally Zaid Hamid ko market hi kardya hay yahan bhi. Ab daikhain mayri misal hi lain, main aap sab say koso door rahta hon aur Yousuf Ali ko tu main bilkul bhi nahi jantaa tha iss thread say pahlay. Zaid Hamid ko bhi chand baar TV ya websites par hi daykha tu tha magar mujhay oska naam (name) bilkul bhi maloom nahi tha kionkay ospar kabhi twaja hi nahi di. Magar iss sab kay baad dono kay naam aur kaam say aagahi hoi.
Umeed hay kay agar koi baat buri lagi ho tu ignore karain gay.
Wasalam
Note Tamam bhaion say guzaarish hay kay aik doosray say unlock hokay aur thori leverage daykar agay barhain aur zati shukriyay ka moqa dain. Umeed hay aap iss zati guzaarish ko qabil-e-tawaja samjhain gay.