11-01-2010, 04:25 PM
Asslam O Alikum,
Zaid Zman almaroof zaid Hamid pay yay Ilzam hay k wo aik aisay shakhs ka sathi hay jis ny Nabowat ka dawa kia ( Yousuf Kazab). Yousuf kay baray main kuch research krnay k baad pta chala k shaid us nay Nabowat k directly tu dawa nahi kia tha but indirectly apnay sathion ko Sahaba RA sy tashbeeh di n Zaid Hamid ko apna Khalifa mutakhib kia. Zaid Hamid ka kehna hay k agr usay yay maloom ho jay k Yousuf nay Nabowat k dawa kia hay tu wo pehla shakhs ho ga jo us pay lanat bhaijay. or wo yaqeen say kehta hay k wo Muhammad SW k akhri Nabi honay pay yaqeen rakhta hay or AP SW k bad Nbowat ka dawa krnay walay her shakhs ko jhota smjta hay.
Yay baat bhi sach hay k Yousuf nay apnay sathion ko Sahaba kaha ya smja or Zaid ka yay claim bhi sach hay ko us Yosuf nay Nabowat ka dawa nai kia bulkay wo aik sufi tha,tu phr msla kahan hay?
Is swal ka jwab hay jo yahan moojood akser logo ko nagwar guzray ga but suchi bat karwi tu hoti he hay.
Sufism / tareeqat( Mixture of Islam, Hebrew and Greek and Hindu Jogism concepts)
So called tazkia e nafs
Ashka e haqeeqat ki koshishain
Ihsaon o sullok k Silslay
Khanqahi Nizam
Allom e Maarifat
Ahwal e Kashf
Ana Al Haq k naaray
Wahdat ul Wajood ki karastanian
Ilhamat ka daway
Wajad n haal k tazkray
Raqs o Sama ki mehfilain
or ab Allah Ho Allah ho k tazkray.
Inna Lilah e wa Inna Ilayhay Rajeeon
Jb tak yay jhotay nizam Islam k nam per moojod rahain gay, Qadyan bhi ain gay Yousuf bhi ain gay or Zaid bhi, Qalandaron k mizaroon ka Haj bhi hoga, or log Jannati darwaz par kr k janat main janay ki koshish bhi krain gay. In tamam fitnoo ki Jar shuroo he Sufism sy hoti hay jo Nabowat ko haqeeqat main tu Khatam mantay hain laikin kbhi kisi Imamat k concept k through jari kr daitay hain Imam k name pay or kbhi kis Shaikh k name pay riwaj day daitay hain Maarifat n Siddiqiat k name pay.
Agr kisi ko ummat k ittehad waqai he pyara hay tu wo sirf usi baat pay ho skta hay jo sb k liay qabil e qubool hay . Qal Allah wa Qal Rasool Allah wa Sunnat Rasool Allah SW.
Allah mujy or sb Muslmano ko Allah k ihkamat or Muhammad SW k Irshadat per amal krnay ki taufeeq dain, or hr jhotay nizam sy mehfooz rakhain. Ameen.