11-03-2010, 07:25 PM
Dear CIAPK
Main tasawuf aur tariqat ke bare main apkee bat se kafi had tak muatfiq hun lekin jhan tak taswuf ya tariqat ka sawal hai to iska qatayee inkar na mumkin hai. Apne Imam Shafi aur Imam Hanbal ke aqwal quote kiay hain lekin taswuf k imam Hazrat Abdul Qadir Jeelani R.A Imam Hanblle ko follow kerte the aur baz waqt Fiqah Shaifia ke mutabiq bhee fatwa dia kerte the. Shariat pe chalna asan hai lekin tariqat pe chalna do dhari talwar pe chalne k mutradif ha. Beherhal hum keh sakte hain k baz sufia se sangeen ghaltian sarzand huyeen jis kee waja se Islam ko nuqsan phoncha. But sub continent k aese ulemah jin se taqriban sare main sects aqeedat rakhte hain maslan Majadid Alfe Sani aur Shah Waliullah Muahadis Dehlvi kisi had tak taswuf se taluq rakhte the. Apne Maulana Roomi ka zikar kia aur unki kitab ka bhee is doran eik inthayee qabile aitraz mozu bhee zaire behas ane laga tha lekin apne usko avoid ker ke acha kia
Allam Ibne Jozee (R.A) kee ek kitab hai Talbees-E-Iblees bohat mashoor kitab hai kisi bhee library se asani se mil saktee hai. Is kitab main unhon ne ek bab bandha hai "Sufia Pe Talbees Iblees" is kitab ka ya kamaz kam us bab ka mutal zaroor kijiay ga. Jab app Imam Jozee R.A kee kitab Talbees-E-Iblees ke bab "Sufia Pe Talbees-eIblees" ka matuala karainge to ap khayal karaing ke Imam sahab taswuf ke bilkul khilaf hain but Imam Jozee kee 2 books aur hain
1. "Al Mudhish" and 2 "Beharad Damu (Aansoonon ka Samandar)" Jab ap in ka matala kariange to apko lagay ga ke Imam Jozee khud tasawuf k aalim hain
Bhai kehne ka maqsad yeh hai k hum ko tariqat aur tasawuf k bare main balanced approach apnani chayee.
Dosree baat jo log shariat per amal nhn kerte ek waqt kee namaz nhn parhte wo bhala taswuf ko kia jane. Teesree bat hum Shariat k mutakalif hain hum se taswuf k bare main sawal nhn hoga. Ek aur baat k taswuf whan se shuru hota hai jab banda sharyiat kee mairaj pe phonch jay . Wo jahil log jo gusul aur wuzu k faraiz se tak waqif nhn ek waqt kee namaz nhn parhte un jahil logon ka tariqat se koyee taluq nhn ha.
Regards,
Awais Aftab