11-03-2010, 09:15 PM
Dear Awais,
I really appreciate your reply, aap nay buhat say logo ki tarah behas bray behas nahi ki or Tasawuf k dark areas ko support nahin kia wrna aisay bhi loog main nay daikhay hain jo apnay maslik ki hr ghalat bat ko mehaz is liay support krtay hain k unka maslik ghalat sabit na ho jay us k liay din rat surf kr k logics dhndtay hain or zaeef say zaeef even ghri hoi Ahadees paish krnay main bhi nahin ghbratay. Allah apko iska ajar day, Ameen.
However, main shaid apki baat say ittefaq nahi kr sakoon ga, mujy word tareekat pay he ietrza hay, Tareekat mean Rasta ( kis ka rasta yay Allah he janay) while Sunnat means Rasta Muhammad SW ka. So, name say he zahir ho jata hay k tareekat Muhammad SW k rasta bahar hal nahin hay kionkay wo Rasta Sunnat he kehlata hay.
Tareekat walay is baat k dawa krtay hain jis ki bal brabar shariat main kmi hay uski tareekat shuroo he nahin ho skti. laikin infact aisa hy nahin, Tareekat apni bunyad main Islam sy takrati hay. Shah Wali Ullah RA meray liay buhat qabil e ihtram hain k wo mohadis bhi thay n aalim bhi of tasawaf bhi unka mozo e behas raha laikin un say Ziada ihtram meray liay Muhammad SW ki zaat hay, agr Tareeqat k madarij ki agr koi agr importance hoti tu yay Quran main zror hotay, agr wahan nahin tu km sy km is process ka zikar Muhammad SW zaror krtay. Sirf apnay nafs ko paak krnay k jo tareeqay Tareeqat main hain wo Muhammad SW ki sunnat main hain na Sahaba e Kiram RA k tareeqon main.
Ap agree krtay hain hmain Allah nay Tareekat k liay jwab deh nai bnaya, tu jo cheez kisi insan say pochi he nahi jay ge us k ghair aeham honay main kia shak hay? Us cheez k oper Sufia apni zindagian kiun brbad kr daitay hain? just kuch super natural type powers hasil krnay k liay? Jis cheez ka muslman sy swal he nahi hona offcourse uska swal na tu Allam Jozee RA say hona hay na Ibne Arabi say na Mansor say na Imam Ghazali RA say Na Shah Wali Ullah RA say tu us cheez ko smjhnay ki koshish he kiun ki gai?
Ap nay kaha Shaikh Abdul Qadir Jilani Imam Ahmad Bin Hanbal RA k follower thay, for arguments I agree, laikin kia saray hanafi imam abu Hanifa RA ko follow krtay hain? yaqeenun nahin as Imam Abu Hanfia RA k shagirdoon main Imam Abu Yousuf RA or Imam Muhammad RA nay buhat say masil o aqaid main Imam abu Hanifa RA sy ikhtelaf kia. So, may be Shaikh Abdul Qadir RA nay bhi is mamlay main ikhtelaf kia ho.
Okay, Sab mantay hain k Shaikh Abdul Qadir Jilani RA Walion k sardar hain. main b man laita hun but Shaikh sb say pocha gya k kia Hanabla k illawa bhi kisi mslik main wali hoa? ap nay frmaya Na tu hoa hay or na he kbi ho ga. ( book ka refernce on demand). Shaikh Abdul Qadir Jillani apni book Ghuniat Talibeen main Gumrah Firqoon ka name byan krtay hoay likhtay hain mafhoom Baaz ashab e abu Hanfia, imam jin k Numan bin sabit koofi hain Kia, aap aik wali ki yay baat tasleem kr lain gay? agr kr lain gay tu Hanafi Olia tu Olia hoay he nahin?
So, y not we should agree upon authentic sayings of one and only one, last and final, imam e aazam and peer e azam, Allah k sb say bri shan walay Nabi, or Habib, Prophet Muhammad SW, instead of quoting Imam jozee RA,Imam jilanai RA, imam ghzali RA, imam Qayam RA, Imam Tamima RA, Shah Wali Ullah n all others sb Aik he Nabi SW k mureed kiun nahin ho jatay?.
Being Aalim yes hmain tmam msalik k ulema ki izaat krni chahyay laikin wo izzat itni na ho k wo apnay ap ko Nabi declare kr dain jaisa k yousuf py alligation hay ( Allah janay sach hay ya nai)
Ap nay kaha k Tasawuf wahan say shuroo hota hay jahan shariat apni meeraj pay pohanch jati hay. Meray bhai shariat ki meeraj ka mtlab hay k aik muslman Quran ki hr baat pay amal krta hay or Allah ka Nabi SW ki Sunnat ko 100% follow krta hay. Jb muslman is meeraj per pohanch gia tu agay baqi kia hay? ap mazeed an us say kia krwana chahtay hain? kia us k jannat main janay main koi shak shuba hay? offcourse mqsad tu sb ka jannat main jana or jannat main Muhammad SW ka qurb pana he he hay. Tu tareekat ki zrorat kia hay?
All are requested to take and think it in positive sense.