12-31-2004, 12:05 AM
achchi haasya kavita
Ek Anokhi Mulakaat
Dekh kar uska sundar mukhda,
Naach uTha man kaa mayur,
Wah bhii hans kar pyar se boli,
âKyon baiTHe ho itnii door?
Aaaiye, idhar aa jaaiye,
aaraam se baith jaaiyeâ.
Haule haule kadam badhata,
pahunch gaya maiN uske paas,
Uskii neeli ankhoN meiN,
dhoonDh raha tha koi aas.
âJab bhii aate ho,
tum itna ghabrate ho,
Karke oopar pair,
Late kyon nahiN jaate hoâ
Na weh boli,
Na maiN bola,
Usne kiya isharaa,
Maine apna munh khola.
Mere oopar jhuk kar phir weh,
Lagi jhaank_ne mere munh maiN,
Kya bat_laa_ooN kaise toofaaN,
Daud rahe they mere man meiN.
Halki sii muskaan khila kar,
boli, âsab kuchh bigad gaya hai.
Peechhe se teesra to bilkul hii sa.D gaya hai.â
Bas isi baat ka dar tha mujhko,
Socha, âBeta, ho gaya kaamâ.
Wah phir bhii muskaati boli,
âAa jaayega tumheN aaraam.â
âDaant tumhara nikal jaayega,
dard bhii saara mi_T jaayega.
Mere paas aa gaye ho to,
Har sankat ab kat jaayegaâ.
Bholi soorat, sundar kaya,
man se kaisi zaalim nikli.
Dard ka maara aaya tha maiN,
Yeh to daant kii dushman nikli.
Uske auzaroN se darta,
âAahâ âoohâ karta karta,
Daant nikalwana hii pa.Da,
marta aakhir kya na karta.
Uske gaal haath par chhoote,
sihran tan-man meiN ho jaatii,
Mujhko ek dilaasaa deti,
Weh meethey se muskaati.
Daant dard ka maara hooN,
Aur dentist ka bhii maara,
Uske roop aur yau_van par,
dil bhii haara, daant bhii haara.
Wah phir boli,
âAb to hans do, dard mitega,
Waqt tumhara badal gaya hai,
Jisne tumheN sataaya tha,
weh daant tumhara nikal gaya haiâ.
Kaise usse bat_ata maiN,
Kaisa usne kehar tha DHaya,
Daant mera dukhta thaa baanyaaN,
Kheench nikaala usne daayaaN.
«·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·»
«.......... S w a l a t ..........»
«·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·»
Ek Anokhi Mulakaat
Dekh kar uska sundar mukhda,
Naach uTha man kaa mayur,
Wah bhii hans kar pyar se boli,
âKyon baiTHe ho itnii door?
Aaaiye, idhar aa jaaiye,
aaraam se baith jaaiyeâ.
Haule haule kadam badhata,
pahunch gaya maiN uske paas,
Uskii neeli ankhoN meiN,
dhoonDh raha tha koi aas.
âJab bhii aate ho,
tum itna ghabrate ho,
Karke oopar pair,
Late kyon nahiN jaate hoâ
Na weh boli,
Na maiN bola,
Usne kiya isharaa,
Maine apna munh khola.
Mere oopar jhuk kar phir weh,
Lagi jhaank_ne mere munh maiN,
Kya bat_laa_ooN kaise toofaaN,
Daud rahe they mere man meiN.
Halki sii muskaan khila kar,
boli, âsab kuchh bigad gaya hai.
Peechhe se teesra to bilkul hii sa.D gaya hai.â
Bas isi baat ka dar tha mujhko,
Socha, âBeta, ho gaya kaamâ.
Wah phir bhii muskaati boli,
âAa jaayega tumheN aaraam.â
âDaant tumhara nikal jaayega,
dard bhii saara mi_T jaayega.
Mere paas aa gaye ho to,
Har sankat ab kat jaayegaâ.
Bholi soorat, sundar kaya,
man se kaisi zaalim nikli.
Dard ka maara aaya tha maiN,
Yeh to daant kii dushman nikli.
Uske auzaroN se darta,
âAahâ âoohâ karta karta,
Daant nikalwana hii pa.Da,
marta aakhir kya na karta.
Uske gaal haath par chhoote,
sihran tan-man meiN ho jaatii,
Mujhko ek dilaasaa deti,
Weh meethey se muskaati.
Daant dard ka maara hooN,
Aur dentist ka bhii maara,
Uske roop aur yau_van par,
dil bhii haara, daant bhii haara.
Wah phir boli,
âAb to hans do, dard mitega,
Waqt tumhara badal gaya hai,
Jisne tumheN sataaya tha,
weh daant tumhara nikal gaya haiâ.
Kaise usse bat_ata maiN,
Kaisa usne kehar tha DHaya,
Daant mera dukhta thaa baanyaaN,
Kheench nikaala usne daayaaN.
«·´`·.(*·.¸(`·.¸ ¸.·´)¸.·*).·´`·»
«.......... S w a l a t ..........»
«·´`·.(¸.·*(¸.·´ `·.¸)*·.¸).·´`·»