Bachon ko maarna nahi chaiyay kyun k Bachon nay kabhi aaap ki nahi Maari ) meray matlab Maghaz-mari!........Agar aap unko maar rahay ho to Aap un ko Maarna bhi sikhaa rahay ho, iss chezze ka khayal rakhna chaiyay.
Meraa koi waqt agar esaa ayaa k meray bachaay huay meray saath tou main shayad unhain nahi marunga kisi bhi baat per. Yeh ek zulm lagta hay mujhay.
Nahi Dear Ek Aadh Chapait bhi sahi nahi hay, Wesaay bhi kuch log apnay bachoon ko maar kar khud ko Salman khan samajhnay lagtay hain maarna hay to zara kisi aur k bachay ko maro, Phir dekho kya hota hay ) I think Sirf uss waqt un k saath strickt zaroor hona chaiyay jab woh kisi ka Haq maar kar aain.
Yasir achay kam k liay or bhlai k liay bacho ki pitai ki ja skti hy bt insano ki tarah as you know ager bcha 7 saal ka ho jay tu or nmaz na prhay tu us py sakhti krnay ka hukam hy even pitai, bt pitai k b kuch usool hotay hain -) as chehray py nai marain, nishan nai bnain takleef nai ho etc.-) hum mray tay aasma jahngir na churwa daina human rights wali -)
kya baat hai ciapk, matlab marne se pehlay checklist uthao and aik aik kar ke check karo, in usoolon par sakhti se amal karainge to bacha naheen, bache ko marna wala darega. aur takleef ka kaise pata chalega hain, yeh to wohi bata sakta hai jise mar pare...bache ki pitai kar di and phir poocha 'beta takleef to nahee huee?' [P]
Karo pitaiyan Sanu ki ) Actually Bachay aap hi say seekh rahay hotay hain mera yeh kehnay ka maqsad hay bus. U know, Jab woh choti c age main Music channels dakh dakh kar gun-gunata hay To aap bohat appreciate kartay ho Infact apnay relatives ko batatay ho But wohi bacha jab 16-17 years main guitar wagera maang leta hay to phir aap ko mazhab yaad araha hota hay phir aap maartay ho usay, Similarly Agar woh aap say kuch pooch raha hota hay bachpan main To aap k nakhray hi nahi khatam horahay hotay Apnaa Raub jhaarnay say fursat nahi milti Lakin woh seekh raha hota hay, Ek waqt ata hay k woh aap ko kuch nahi batata apni life k baray main k woh kya kar raha hay Aur kya soch raha hay, Aur Aap afsurda hojatay ho.This is few out of many examples.
Shadi to shayad ek bara saal ka larka bhi kar sakta hay, But mature age main karni chaiyay Takay U should know bachon ki parwarish kesay karni hay, unko jesay react karana chahtay ho uss k liay aap ko khud kesay act karna hoga, Thats the point.