<font size="1"><blockquote id="quote"><font size="1" face="Verdana, Arial, Helvetica, san" id="quote">quote<hr height="1" noshade id="quote"><i>Originally posted by Safoora</i>
<br />Uski ankhon mai nazar ata hay sara jahan..
afsoos k un ankhon me kabhi khud ko nahi dekha!! [(]
<hr height="1" noshade id="quote"></font id="quote"></blockquote id="quote"></font id="size1">
Ek jagaa tu aap hassnaay ki baat karti hain, Doooosree jagaa Aap Ronaay ki baat karti hain.
titliyo k mausam mein,
nochnaa gulaabo ka
reet is nagar ki hai,
aur najaney kab se hai
dekh kar parindo'on ko,
baandhnaa nishaano'on ka
reet is nagar ki hai
aur najaney kab se hai
tum abhi naey aey ho
iss liey pareshan ho
iss tarah sey ghabraa k
aasmaan ko mat dekho
aafto'on k aaney per
tootnaa sitaaro'on ka
reet iss nagar ki hai
aur najaaney kab se hai
guftugoo hunar uss ka
khamoshi shayva mera
iss ajib kashmakash mein
maangna havaalo'on kaa
reet iss nagar ki hai
aur najaney kab se hai
Ajeeb hein log is shaher k
Bowtey hein beej nafrat k
Aur kartey hein intezaar
Mohabbat ki fasal ka
Cho'or k haqeeqato'on ko
daikhnaa Saraabo'on ka
reet is nagar ki hai
aur najaaney kab se hai
labo'on se aap kahein naa
aur dil ki baat samajh lay koi
jaagti hui aankho'on se
dekhnaa khawaabo'on kaa
ree iss nagar ki hai
aur najaaney kab se hai......